Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai, Urdu Ghazal By Manzar Bhopali

Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Manzar Bhopali. Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زلف و رخ کے سائے میں زندگی گزاری ہے

منظر بھوپالی

زلف و رخ کے سائے میں زندگی گزاری ہے

دھوپ بھی ہماری ہے چھاؤں بھی ہماری ہے

غم گسار چہروں پر اعتبار مت کرنا

شہر میں سیاست کے دوست بھی شکاری ہے

موڑ لینے والی ہے، زندگی کوئی شاید

اب کے پھر ہواؤں میں ایک بے قراری ہے

حال خوں میں ڈوبا ہے کل نہ جانے کیا ہوگا

اب یہ خوف مستقبل ذہن ذہن طاری ہے

میرے ہی بزرگوں نے سر بلندیاں بخشیں

میرے ہی قبلے پر مشق سنگ باری ہے

اک عجیب ٹھنڈک ہے اس کے نرم لہجے میں

لفظ لفظ شبنم ہے بات بات پیاری ہے

کچھ تو پائیں گے اس کی قربتوں کا خمیازہ

دل تو ہو چکے ٹکڑے اب سروں کی باری ہے

باپ بوجھ ڈھوتا تھا کیا جہیز دے پاتا

اس لئے وہ شہزادی آج تک کنواری ہے

کہہ دو میرؔ و غالبؔ سے ہم بھی شعر کہتے ہیں

وہ صدی تمہاری تھی یہ صدی ہماری ہے

کربلا نہیں لیکن جھوٹ اور صداقت میں

کل بھی جنگ جاری تھی اب بھی جنگ جاری ہے

گاؤں میں محبت کی رسم ہے ابھی منظرؔ

شہر میں ہمارے تو جو بھی ہے مداری ہے

منظر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai

Manzar Bhopali

zulf o ruKH ke sae mein zindagi guzari hai
dhup bhi hamari hai chhanw bhi hamari hai

gham-gusar chehron par e'tibar mat karna
shahr mein siyasat ke dost bhi shikari hai

moD lene wali hai, zindagi koi shayad
ab ke phir hawaon mein ek be-qarari hai

haal KHun mein Duba hai kal na jaane kya hoga
ab ye KHauf-e-mustaqbil zehn zehn tari hai

mere hi buzurgon ne sar-bulandiyan baKHshin
mere hi qible par mashq-e-sang-bari hai

ek ajib ThanDak hai is ke narm lahje mein
lafz lafz shabnam hai baat baat pyari hai

kuchh to paenge us ki qurbaton ka KHamyaza
dil to ho chuke TukDe ab saron ki bari hai

bap bojh Dhota tha kya jahez de pata
is liye wo shahzadi aaj tak kunwari hai

kah do 'mir' o 'ghaalib' se hum bhi sher kahte hain
wo sadi tumhaari thi ye sadi hamari hai

karbala nahin lekin jhuT aur sadaqat mein
kal bhi jang jari thi ab bhi jang jari hai

ganw mein mohabbat ki rasm hai abhi 'manzar'
shahr mein hamare to jo bhi hai madari hai

(1084) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai written by Manzar Bhopali at UrduPoint. Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai is one of the masterpieces written by Manzar Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Manzar Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Manzar Bhopali' above.

Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.