Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai, Urdu Nazam By Mohammad Anvar Khalid

Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mohammad Anvar Khalid. Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ شہر تمام اندوہ میں ہے

محمد انور خالد

یہ شہر تمام اندوہ میں ہے

اس رات سپاہی گشت پر آیا نہیں

تم گھر جا سکتی ہو

اور شہر کے باہر جتنے شہر ہیں سب کے سب اندوہ میں ہیں

کل ہفتے کی تعطیل کا پہلا دن ہوگا

وہ لڑکی گھاس پہ بیٹھ کے لکھتی ہے اور ہنستی ہے

اک تیز ہنسی جو سات گھروں کو چیر گئی

وہ لڑکی گھاس پہ بیٹھ کے لکھتی ہے اور ہنستی ہے

ان لفظوں پر جو اس نے لکھے

ان لفظوں پر جو اس سے پہلے آنے والے سب نے لکھے

ان لفظوں پر جو اس کے بعد کے آنے والے شاید اس پر لکھیں گے

وہ ہنستی ہے اور لکھتی ہے اور ہنستی ہے

اور شہر تمام اندوہ میں ہے

کوئی پتھر آن ہٹائے گا

اس گھر کے باہر اک گھر ہے

تم گھر میں جا کر سو رہتے

اور خواب کے لیے دم کاہے کو آنے ہیں

خواب تو رتھ پر آتے ہیں

اور تم نے رتھ دیوتا کو خواب میں ڈال دیا

اب شہر اور خواب اور آنکھ کا رشتہ ٹوٹ گیا

اب دریا پھیلتا جاتا ہے

اور کوئی کنارا پاس نہیں

اور دریا پھیلتا جاتا ہے

اور دریا پھیلتا جاتا ہے

اور دریا پھیلتا جاتا ہے

محمد انور خالد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai

Mohammad Anvar Khalid

ye shahr tamam andoh mein hai
is raat sipahi gasht par aaya nahin
tum ghar ja sakti ho
aur shahr ke bahar jitne shahr hain sab ke sab andoh mein hain
kal hafte ki tatil ka pahla din hoga
wo laDki ghas pe baiTh ke likhti hai aur hansti hai
ek tez hansi jo sat gharon ko chir gai
wo laDki ghas pe baiTh ke likhti hai aur hansti hai
in lafzon par jo us ne likhe
in lafzon par jo is se pahle aane wale sab ne likhe
in lafzon par jo is ke baad ke aane wale shayad is par likhenge
wo hansti hai aur likhti hai aur hansti hai
aur shahr tamam andoh mein hai
koi patthar aan haTaega
is ghar ke bahar ek ghar hai
tum ghar mein ja kar so rahte
aur KHwab ke liye dam kahe ko aane hain
KHwab to rath par aate hain
aur tum ne rath-dewta ko KHwab mein Dal diya
ab shahr aur KHwab aur aankh ka rishta TuT gaya
ab dariya phailta jata hai
aur koi kinara pas nahin
aur dariya phailta jata hai
aur dariya phailta jata hai
aur dariya phailta jata hai

(376) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai written by Mohammad Anvar Khalid at UrduPoint. Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Anvar Khalid. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Anvar Khalid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Anvar Khalid' above.

Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Ye Shahr Tamam Andoh Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.