Aks-e-jamal-e-yar Ki Tasir Dekhna, Urdu Ghazal By Mohammad Saeed Razmi

Aks-e-jamal-e-yar Ki Tasir Dekhna is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Saeed Razmi. Aks-e-jamal-e-yar Ki Tasir Dekhna comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aks-e-jamal-e-yar Ki Tasir Dekhna on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عکس جمال یار کی تاثیر دیکھنا

محمد سعید رزمی

عکس جمال یار کی تاثیر دیکھنا

دل بن گیا ہے حسن کی تصویر دیکھنا

آئی ہے پھر چمن سے ہوائے جنوں نواز

شاید ہے پھر نصیب میں زنجیر دیکھنا

پھر دل کو ہے کشاکش حسرت سے واسطہ

پھر دل ہے وقت کاوش تدبیر دیکھنا

پھر ابتلائے عشق کی جرأت ہوئی مجھے

پھر ہے فغاں کو حسرت تاثیر دیکھنا

پھر جذب آزما ہے دل بے قرار شوق

پھر ہے خروش نالۂ شب گیر دیکھنا

پھر عجز شوق نے انہیں مغرور کر دیا

پھر تمکنت ہوئی ہے عناں گیر دیکھنا

پھر کشمکش سے ضبط کی گھبرا چلا ہے دل

پھر چاہتا ہوں آہ کی تاثیر دیکھنا

پھر رو رہا ہوں عشرت ماضی کی یاد میں

پھر ہوں اسیر گردش تقدیر دیکھنا

پھر ہو رہی ہے ان سے تصور میں گفتگو

پھر ہوں میں محو لذت تقریر دیکھنا

قسمت میں میری کوئی خوشی کی گھڑی بھی ہے

اے واقفان نوحۂ تقدیر دیکھنا

رزمیؔ ہے دل میں پھر ہوس امتحان شوق

پھر چاہتا ہوں برش شمشیر دیکھنا

محمد سعید رزمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aks-e-jamal-e-yar Ki Tasir Dekhna

Mohammad Saeed Razmi

aks-e-jamal-e-yar ki tasir dekhna
dil ban gaya hai husn ki taswir dekhna

aai hai phir chaman se hawa-e-junun-nawaz
shayad hai phir nasib mein zanjir dekhna

phir dil ko hai kashakash-e-hasrat se wasta
phir dil hai waqt-e-kawish-e-tadbir dekhna

phir ibtila-e-ishq ki jurat hui mujhe
phir hai fughan ko hasrat-e-tasir dekhna

phir jazb-azma hai dil-e-be-qarar-e-shauq
phir hai KHarosh nala-e-shab-gir dekhna

phir ijz-e-shauq ne unhen maghrur kar diya
phir tamkanat hui hai inan-gir dekhna

phir kashmakash se zabt ki ghabra chala hai dil
phir chahta hun aah ki tasir dekhna

phir ro raha hun ishrat-e-mazi ki yaad mein
phir hun asir-e-gardish-e-taqdir dekhna

phir ho rahi hai un se tasawwur mein guftugu
phir hun main mahw-e-lazzat-e-taqrir dekhna

qismat mein meri koi KHushi ki ghaDi bhi hai
ai waqifan-e-nauha-e-taqdir dekhna

'razmi' hai dil mein phir hawas-e-imtihan-e-shauq
phir chahta hun burrish-e-shamshir dekhna

(698) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aks-e-jamal-e-yar Ki Tasir Dekhna written by Mohammad Saeed Razmi at UrduPoint. Aks-e-jamal-e-yar Ki Tasir Dekhna is one of the masterpieces written by Mohammad Saeed Razmi. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Saeed Razmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Saeed Razmi' above.

Aks-e-jamal-e-yar Ki Tasir Dekhna is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aks-e-jamal-e-yar Ki Tasir Dekhna, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.