Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai, Urdu Ghazal By Nazar Hyderabadi

Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazar Hyderabadi. Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل محو تماشائے لب بام نہیں ہے

نظر حیدرآبادی

دل محو تماشائے لب بام نہیں ہے

پیغام بہ اندازۂ پیغام نہیں ہے

اے جان گراں سیر ترا رہبر و رہزن

ہے کون اگر وقت سبک گام نہیں ہے

جو تیرے دیار‌ رخ و کاکل میں نہ گزرے

وہ صبح نہیں ہے وہ مری شام نہیں ہے

اس پرسش حالات کے انداز کے قرباں

کس طرح کہوں میں مجھے آرام نہیں ہے

کیا بات ہے اے تلخئ آزار محبت

فہرست شہیداں میں مرا نام نہیں ہے

مے خانے میں اور شورش ایام در آئے

افسوس کہ ہاتھوں میں مرے جام نہیں ہے

اکثر لب شاعر سے جو سنتا ہے زمانہ

وہ زیست کی آواز ہے الہام نہیں ہے

اے مست مے شوق سنبھال اپنے سبو کو

دنیا ہے یہ خم‌ خانۂ خیام نہیں ہے

اک طرفہ تماشا ہے نظرؔ تیری طبیعت

شاعر بھی ہے اور شہر میں بدنام نہیں ہے

نظر حیدرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai

Nazar Hyderabadi

dil mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam nahin hai
paigham ba-andaz-e-paigham nahin hai

ai jaan-e-giran sair tera rahbar-o-rahzan
hai kaun agar waqt-e-subuk-e-gam nahin hai

jo tere dayar-e-ruKH-o-kakul mein na guzre
wo subh nahin hai wo meri sham nahin hai

is pursish-e-haalat ke andaz ke qurban
kis tarah kahun main mujhe aaram nahin hai

kya baat hai ai talKHi-e-azar-e-mohabbat
fihrist-e-shahidan mein mera nam nahin hai

mai-KHane mein aur shorish-e-ayyam dar aae
afsos ki hathon mein mere jam nahin hai

aksar lab-e-shair se jo sunta hai zamana
wo zist ki aawaz hai ilham nahin hai

ai mast-e-mai-shauq sambhaal apne subu ko
duniya hai ye KHum-KHana-e-KHayyam nahin hai

ek turfa tamasha hai 'nazar' teri tabiat
shair bhi hai aur shahr mein badnam nahin hai

(652) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai written by Nazar Hyderabadi at UrduPoint. Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai is one of the masterpieces written by Nazar Hyderabadi. You can also find the complete poetry collection of Nazar Hyderabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazar Hyderabadi' above.

Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.