KHwab Mein Bhi Nazar Aa Jae Jo Ghar Ki Surat, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

KHwab Mein Bhi Nazar Aa Jae Jo Ghar Ki Surat is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. KHwab Mein Bhi Nazar Aa Jae Jo Ghar Ki Surat comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHwab Mein Bhi Nazar Aa Jae Jo Ghar Ki Surat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خواب میں بھی نظر آ جائے جو گھر کی صورت

ریاضؔ خیرآبادی

خواب میں بھی نظر آ جائے جو گھر کی صورت

پھاڑ کھائیں ترے درباں سگ در کی صورت

ایسی بگڑے نہ الٰہی کسی گھر کی صورت

وہی دیوار کی صورت ہے جو در کی صورت

پر شکستہ ہوں تہہ شاخ پڑا رہنے دے

باغباں تو مجھے ٹوٹے ہوئے پر کی صورت

چھوٹتا ہی نہیں اب عرش خدا بام بتاں

دیکھ لی ہے کہیں نالوں نے اثر کی صورت

گھیرے رہتا ہے بگولا مجھے اب ایک نہ ایک

کی ہے پیدا مرے صحرا نے بھی گھر کی صورت

جان جائے کہ رہے آپ کے آتے آتے

اور سے اور ہے اب درد جگر کی صورت

پانی ہو جاتے ہیں آنسو مرے موتی بن کر

ورنہ اچھی تو نہ تھی ان سے گہر کی صورت

کوچۂ زلف میں جاتے ہوئے دل ڈرتا ہے

ہر قدم پر ہے نئی خوف و خطر کی صورت

کبھی پھولا نہ پھلا نخل تمنا افسوس

پھول کی شکل نہ دیکھی نہ ثمر کی صورت

غیر کی قبر ہے گلشن ہے نہ دامن ان کا

مجھ سے دیکھی نہیں جاتی گل تر کی صورت

چارہ گر آتے ہیں تو آنکھ چرا جاتے ہیں

ایسی بگڑی ہے مرے زخم جگر کی صورت

آشیانے کو چلے باغ میں مدت گزری

پھرتی ہے آنکھ میں کیوں برق و شرر کی صورت

گھر سے بے فکر میں صحرا میں پھرا کرتا ہوں

میری آنکھوں میں پھرا کرتی ہے گھر کی صورت

قیس بھٹکا تھا کہ صحرا میں ریاضؔ آئے نظر

رہ نما اس کے بنے آپ خضر کی صورت

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwab Mein Bhi Nazar Aa Jae Jo Ghar Ki Surat

Riyaz Khairabadi

KHwab mein bhi nazar aa jae jo ghar ki surat
phaD khaen tere darban sag-e-dar ki surat

aisi bigDe na ilahi kisi ghar ki surat
wahi diwar ki surat hai jo dar ki surat

par-shikasta hun tah-e-shaKH paDa rahne de
baghban tu mujhe TuTe hue par ki surat

chhuTta hi nahin ab arsh-e-KHuda baam-e-butan
dekh li hai kahin nalon ne asar ki surat

ghere rahta hai bagula mujhe ab ek na ek
ki hai paida mere sahra ne bhi ghar ki surat

jaan jae ki rahe aap ke aate aate
aur se aur hai ab dard-e-jigar ki surat

pani ho jate hain aansu mere moti ban kar
warna achchhi to na thi un se guhar ki surat

kucha-e-zulf mein jate hue dil Darta hai
har qadam par hai nai KHauf-o-KHatar ki surat

kabhi phula na phula naKHl-e-tamanna afsos
phul ki shakl na dekhi na samar ki surat

ghair ki qabr hai gulshan hai na daman un ka
mujh se dekhi nahin jati gul-e-tar ki surat

chaaragar aate hain to aankh chura jate hain
aisi bigDi hai mere zaKHm-e-jigar ki surat

aashiyane ko chale bagh mein muddat guzri
phirti hai aankh mein kyun barq-o-sharar ki surat

ghar se be-fikr main sahra mein phira karta hun
meri aankhon mein phira karti hai ghar ki surat

qais bhaTka tha ki sahra mein 'riyaz' aae nazar
rahnuma us ke bane aap KHizar ki surat

(384) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHwab Mein Bhi Nazar Aa Jae Jo Ghar Ki Surat written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. KHwab Mein Bhi Nazar Aa Jae Jo Ghar Ki Surat is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

KHwab Mein Bhi Nazar Aa Jae Jo Ghar Ki Surat is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHwab Mein Bhi Nazar Aa Jae Jo Ghar Ki Surat, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.