Mumkin Nahin Ki Ishq Mein Gham Se Mafar Mile, Urdu Ghazal By Sabir Dehlavi

Mumkin Nahin Ki Ishq Mein Gham Se Mafar Mile is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sabir Dehlavi. Mumkin Nahin Ki Ishq Mein Gham Se Mafar Mile comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mumkin Nahin Ki Ishq Mein Gham Se Mafar Mile on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ممکن نہیں کہ عشق میں غم سے مفر ملے

صابر دہلوی

ممکن نہیں کہ عشق میں غم سے مفر ملے

مر جاؤں میں قرار کی صورت اگر ملے

کیا کیا نہ زندگی میں فریب نظر ملے

رہزن تھے اصل میں جو ہمیں راہبر ملے

لے کر تمہارا نام جہاں سے گزر گیا

وہ ایک شخص جس سے نہ تم عمر بھر ملے

دیر و حرم تو سجدوں کی آماجگاہ ہیں

اس کا نصیب جس کو ترا سنگ در ملے

امید و یاس و حسرت و ارمان و آرزو

کیا کیا نہ راہ غم میں مجھے ہم سفر ملے

ہو جائے ان کو اپنے پرائے میں امتیاز

یا رب انہیں بھی چشم حقیقت نگر ملے

دل کا مگر جواب نہیں راہ عشق میں

ملنے کو یوں ہزار مجھے راہبر ملے

اپنا کسے بنائیں کریں کس کا اعتبار

نالے بھی ان کے حلقہ بگوش اثر ملے

ناصح اہانت غم جاناں نہیں قبول

لوں جان دے کے مجھ کو محبت اگر ملے

پہلی نظر میں مجھ کو تو اپنا بنا لیا

یعنی کچھ اس ادا سے جناب سحرؔ ملے

صابرؔ جنون شوق نے آساں بنا دئے

رستے میں جو مقام مجھے پر خطر ملے

صابر دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mumkin Nahin Ki Ishq Mein Gham Se Mafar Mile

Sabir Dehlavi

mumkin nahin ki ishq mein gham se mafar mile
mar jaun main qarar ki surat agar mile

kya kya na zindagi mein fareb-e-nazar mile
rahzan the asl mein jo hamein rahbar mile

le kar tumhaara nam jahan se guzar gaya
wo ek shaKHs jis se na tum umr bhar mile

dair-o-haram to sajdon ki aamajgah hain
us ka nasib jis ko tera sang-e-dar mile

ummid-o-yas-o-hasrat-o-arman-o-arzu
kya kya na rah-e-gham mein mujhe ham-safar mile

ho jae un ko apne parae mein imtiyaz
yarab unhen bhi chashm-e-haqiqat-nigar mile

dil ka magar jawab nahin rah-e-ishq mein
milne ko yun hazar mujhe rahbar mile

apna kise banaen karen kis ka e'tibar
nale bhi un ke halqa-ba-gosh-e-asar mile

naseh ihanat-e-gham-e-jaanan nahin qubul
lun jaan de ke mujh ko mohabbat agar mile

pahli nazar mein mujh ko to apna bana liya
yani kuchh is ada se janab-e-'sahar' mile

'sabir' junun-e-shauq ne aasan bana diye
raste mein jo maqam mujhe pur-KHatar mile

(449) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mumkin Nahin Ki Ishq Mein Gham Se Mafar Mile written by Sabir Dehlavi at UrduPoint. Mumkin Nahin Ki Ishq Mein Gham Se Mafar Mile is one of the masterpieces written by Sabir Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Sabir Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sabir Dehlavi' above.

Mumkin Nahin Ki Ishq Mein Gham Se Mafar Mile is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mumkin Nahin Ki Ishq Mein Gham Se Mafar Mile, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.