Tu Jo Kahta Hai Shab-e-wasl Mein Har Bar Nahin, Urdu Ghazal By Sabir Rampuri

Tu Jo Kahta Hai Shab-e-wasl Mein Har Bar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sabir Rampuri. Tu Jo Kahta Hai Shab-e-wasl Mein Har Bar Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tu Jo Kahta Hai Shab-e-wasl Mein Har Bar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تو جو کہتا ہے شب وصل میں ہر بار نہیں

صابر رامپوری

تو جو کہتا ہے شب وصل میں ہر بار نہیں

ہم سمجھتے ہیں یہ اقرار ہے انکار نہیں

کس کے دل میں تری الفت کا چبھا خار نہیں

کون ہے وہ جو ترا طالب دیدار نہیں

کفر و دیں کچھ سبب سبحہ و زنار نہیں

اس سے ہوتا کوئی کافر کوئی دیدا نہیں

اپنا وہ حال ہے جو قابل اظہار نہیں

وہ زباں اپنی ہے جو لائق گفتار نہیں

کیا ہے وہ عشق کہ جس کی نہ ہو شہرت سب میں

کیا وہ عاشق ہے جو رسوا سر بازار نہیں

عشق میں اک بت کافر کے ہمارے تن پر

کون سی رگ ہے جو ہم صورت زنار نہیں

مشغلہ دست جنوں کے لئے اب کیا ہوگا

ایک بھی اپنے گریباں میں رہا تار نہیں

بولو آہستہ شب وصل خدا کو مانو

کوئی بد خواہ کھڑا ہو پس دیوار نہیں

ایسی حالت میں ہو کیونکر مجھے امید وصال

میرے کہنے میں وہ معشوق طرحدار نہیں

اب بلانا ہے ہمیں اس کا عبث اے قاصد

تاب اٹھنے کی نہیں طاقت رفتار نہیں

زیست کی بات تو ہے اور مگر ظاہر میں

مرض عشق سے بچنے کے کچھ آثار نہیں

حال دل اپنا بیاں کس سے کروں اے صابرؔ

کوئی مونس نہیں ہمدم نہیں غم خوار نہیں

صابر رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tu Jo Kahta Hai Shab-e-wasl Mein Har Bar Nahin

Sabir Rampuri

tu jo kahta hai shab-e-wasl mein har bar nahin
hum samajhte hain ye iqrar hai inkar nahin

kis ke dil mein teri ulfat ka chubha KHar nahin
kaun hai wo jo tera talib-e-didar nahin

kufr-o-din kuchh sabab-e-subha-o-zunnar nahin
is se hota koi kafir koi din-dar nahin

apna wo haal hai jo qabil-e-izhaar nahin
wo zaban apni hai jo laeq-e-guftar nahin

kya hai wo ishq ki jis ki na ho shohrat sab mein
kya wo aashiq hai jo ruswa sar-e-bazar nahin

ishq mein ek but-e-kafir ke hamare tan par
kaun si rag hai jo ham-surat-e-zunnar nahin

mashghala dast-e-junun ke liye ab kya hoga
ek bhi apne gareban mein raha tar nahin

bolo aahista shab-e-wasl KHuda ko mano
koi bad-KHwah khaDa ho pas-e-diwar nahin

aisi haalat mein ho kyunkar mujhe ummid-e-visal
mere kahne mein wo mashuq-e-tarahdar nahin

ab bulana hai hamein us ka abas ai qasid
tab uThne ki nahin taqat-e-raftar nahin

zist ki baat to hai aur magar zahir mein
maraz-e-ishq se bachne ke kuchh aasar nahin

haal-e-dil apna bayan kis se karun ai 'sabir'
koi monis nahin hamdam nahin gham-KHwar nahin

(291) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tu Jo Kahta Hai Shab-e-wasl Mein Har Bar Nahin written by Sabir Rampuri at UrduPoint. Tu Jo Kahta Hai Shab-e-wasl Mein Har Bar Nahin is one of the masterpieces written by Sabir Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Sabir Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sabir Rampuri' above.

Tu Jo Kahta Hai Shab-e-wasl Mein Har Bar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tu Jo Kahta Hai Shab-e-wasl Mein Har Bar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.