Puchh Lo Gar JhuT Kahta Hun Dil-e-nakaam Se, Urdu Ghazal By Sayad Humayun Mirza Haqeer

Puchh Lo Gar JhuT Kahta Hun Dil-e-nakaam Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sayad Humayun Mirza Haqeer. Puchh Lo Gar JhuT Kahta Hun Dil-e-nakaam Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Puchh Lo Gar JhuT Kahta Hun Dil-e-nakaam Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پوچھ لو گر جھوٹ کہتا ہوں دل ناکام سے

سید ہمایوں میرزا حقیر

پوچھ لو گر جھوٹ کہتا ہوں دل ناکام سے

صبح کی ہے آج بھی رو رو کے میں نے شام سے

سابقہ ہے روز فردا اس بت خود کام سے

قبر میں سونے دے اے دل دو گھڑی آرام سے

رو رہے ہیں اب تو دشمن بھی جنازے پر کھڑے

آپ بھی گردن اٹھا کر دیکھ لیتے بام سے

آ گئی ہے یاد مجھ کو گردش چشم نگار

ساقیا نظارۂ دور مئے گلفام سے

کوئی مر جائے کہ فرقت میں رہے زندہ بگور

ان کو اپنے کام سے مطلب ہے اپنے نام سے

چھٹ کے پیشانی کی افشاں دیکھیں کس کس پر گرے

بجلیاں ناحق گراتے ہیں وہ بیٹھے بام سے

بعد مردن ہو گلی اس کی کہ دشت خار خار

واں بھی رہتے چین سے اور یاں بھی ہیں آرام سے

زہر ہو لیکن وہ مجھ کو اپنے ہاتھوں سے تو دے

یوں تو مطلب جام سے ہے اور نہ دور جام سے

عاشقی اچھی سہی انجام عشق اچھا نہیں

اے حقیرؔ اب درگزر کر اس خیال خام سے

سید ہمایوں میرزا حقیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Puchh Lo Gar JhuT Kahta Hun Dil-e-nakaam Se

Sayad Humayun Mirza Haqeer

puchh lo gar jhuT kahta hun dil-e-nakaam se
subh ki hai aaj bhi ro ro ke main ne sham se

sabiqa hai roz-e-farda us but-e-KHud-kaam se
qabr mein sone de ai dil do ghaDi aaram se

ro rahe hain ab to dushman bhi janaze par khaDe
aap bhi gardan uTha kar dekh lete baam se

aa gai hai yaad mujh ko gardish-e-chashm-e-nigar
saqiya nazzara-e-daur-e-mai-e-gulfam se

koi mar jae ki furqat mein rahe zinda ba-gor
un ko apne kaam se matlab hai apne nam se

chhuT ke peshani ki afshan dekhen kis kis par gire
bijliyan nahaq giraate hain wo baiThe baam se

baad murdan ho gali us ki ki dasht-e-KHar-KHar
wan bhi rahte chain se aur yan bhi hain aaram se

zahr ho lekin wo mujh ko apne hathon se to de
yun to matlab jam se hai aur na daur-e-jam se

aashiqi achchhi sahi anjam-e-ishq achchha nahin
ai 'haqir' ab darguzar kar is KHayal-e-KHam se

(275) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Puchh Lo Gar JhuT Kahta Hun Dil-e-nakaam Se written by Sayad Humayun Mirza Haqeer at UrduPoint. Puchh Lo Gar JhuT Kahta Hun Dil-e-nakaam Se is one of the masterpieces written by Sayad Humayun Mirza Haqeer. You can also find the complete poetry collection of Sayad Humayun Mirza Haqeer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sayad Humayun Mirza Haqeer' above.

Puchh Lo Gar JhuT Kahta Hun Dil-e-nakaam Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Puchh Lo Gar JhuT Kahta Hun Dil-e-nakaam Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.