Apne Fan Ki Koi Tasir Dikha Pani Mein, Urdu Ghazal By Shahid Anwar

Apne Fan Ki Koi Tasir Dikha Pani Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahid Anwar. Apne Fan Ki Koi Tasir Dikha Pani Mein comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Apne Fan Ki Koi Tasir Dikha Pani Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اپنے فن کی کوئی تاثیر دکھا پانی میں

شاہد انور

اپنے فن کی کوئی تاثیر دکھا پانی میں

اس کے لہجے کی طرح حرف سجا پانی میں

سادگی تیری یہاں کون سمجھ پائے گا

بات کچھ ایسے بنا آگ لگا پانی میں

اک نظر پڑتے ہی فطرت بھی بدل جاتی ہے

کیسی تاثیر ہے اس گھر کے ہوا پانی میں

حشر تک خیر کا سامان ہوئی سب کے لیے

تیرے یونس نے پڑھی ایسی دعا پانی میں

رنگ تصویر میں ایسا نہ سجا پایا کوئی

چاندنی رات کا جو عکس بنا پانی میں

لاکھ تیراک ہے موجوں پہ حکومت ہے مگر

تیرنے والا ہی پاتا ہے دغا پانی میں

موتیوں کے لیے پانی میں گیا تھا شاہدؔ

ہاتھ تو کیا ہی لگا جاں سے گیا پانی میں

شاہد انور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Apne Fan Ki Koi Tasir Dikha Pani Mein

Shahid Anwar

apne fan ki koi tasir dikha pani mein
us ke lahje ki tarah harf saja pani mein

sadgi teri yahan kaun samajh paega
baat kuchh aise bina aag laga pani mein

ek nazar paDte hi fitrat bhi badal jati hai
kaisi tasir hai is ghar ke hawa pani mein

hashr tak KHair ka saman hui sab ke liye
tere yunus ne paDhi aisi dua pani mein

rang taswir mein aisa na saja paya koi
chandni raat ka jo aks bana pani mein

lakh tairak hai maujon pe hukumat hai magar
tairne wala hi pata hai dagha pani mein

motiyon ke liye pani mein gaya tha 'shahid'
hath to kya hi laga jaan se gaya pani mein

(416) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Apne Fan Ki Koi Tasir Dikha Pani Mein written by Shahid Anwar at UrduPoint. Apne Fan Ki Koi Tasir Dikha Pani Mein is one of the masterpieces written by Shahid Anwar. You can also find the complete poetry collection of Shahid Anwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahid Anwar' above.

Apne Fan Ki Koi Tasir Dikha Pani Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Apne Fan Ki Koi Tasir Dikha Pani Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.