Sang-zanon Ke Waste Phir Nae Raston Mein Hai, Urdu Ghazal By Shahida Tabassum

Sang-zanon Ke Waste Phir Nae Raston Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahida Tabassum. Sang-zanon Ke Waste Phir Nae Raston Mein Hai comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Sang-zanon Ke Waste Phir Nae Raston Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سنگ زنوں کے واسطے پھر نئے راستوں میں ہے

شاہدہ تبسم

سنگ زنوں کے واسطے پھر نئے راستوں میں ہے

وحشت جاں کا مسئلہ شیشے کے جنگلوں میں ہے

اتری تھیں دشت پر کبھی برگ و ثمر وہ آہٹیں

قحط صدائے دوستاں پھر سے سماعتوں میں ہے

جن میں نہاں رہا کبھی نکہت و گل کی قربتیں

حد زمین و آسماں اب انہی رابطوں میں ہے

کسی نے زمیں کے جسم سے فصل وصال چھین لی

عرصۂ حشر سا بپا روح کی کھیتیوں میں ہے

دل سے لہو کے شور تک زخم کا سلسلہ رواں

شورش بحر بے کراں آج سے پھر رگوں میں ہے

عالم بے حجابیٔ جاں کا سماں کچھ اور تھا

ہر بن مو کا حرف دل یوں تو کھلا لبوں میں ہے

تارے سے سمت بھی الگ ناؤ سے راہ بھی جدا

رمز مسافرت چھپا چپ کے سمندروں میں ہے

شاہدہ تبسم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sang-zanon Ke Waste Phir Nae Raston Mein Hai

Shahida Tabassum

sang-zanon ke waste phir nae raston mein hai
wahshat-e-jaan ka masala shishe ke jangalon mein hai

utri thin dasht par kabhi barg-o-samar wo aahaTen
qaht-e-sada-e-dostan phir se samaaton mein hai

jin mein nihan raha kabhi nikhat-o-gul ki qurbaten
had-e-zamin-o-asman ab inhi rabton mein hai

kisi ne zamin ke jism se fasl-e-visal chhin li
arsa-e-hashr sa bapa ruh ki khetiyon mein hai

dil se lahu ke shor tak zaKHm ka silsila rawan
shorish-e-bahr-e-be-karan aaj se phir ragon mein hai

aalam-e-be-hijabi-e-jaan ka saman kuchh aur tha
har bun-e-mu ka harf-e-dil yun to khula labon mein hai

tare se samt bhi alag naw se rah bhi juda
ramz-e-musafirat chhupa chup ke samundaron mein hai

(389) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sang-zanon Ke Waste Phir Nae Raston Mein Hai written by Shahida Tabassum at UrduPoint. Sang-zanon Ke Waste Phir Nae Raston Mein Hai is one of the masterpieces written by Shahida Tabassum. You can also find the complete poetry collection of Shahida Tabassum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahida Tabassum' above.

Sang-zanon Ke Waste Phir Nae Raston Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sang-zanon Ke Waste Phir Nae Raston Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.