Sochiye Gar Use Har Nafas Maut Hai Kuchh Mudawa Bhi Ho Be-hisi Ke Liye, Urdu Ghazal By Shahzad Anjum Burhani

Sochiye Gar Use Har Nafas Maut Hai Kuchh Mudawa Bhi Ho Be-hisi Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahzad Anjum Burhani. Sochiye Gar Use Har Nafas Maut Hai Kuchh Mudawa Bhi Ho Be-hisi Ke Liye comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Sochiye Gar Use Har Nafas Maut Hai Kuchh Mudawa Bhi Ho Be-hisi Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سوچئے گر اسے ہر نفس موت ہے کچھ مداوا بھی ہو بے حسی کے لئے

شہزاد انجم برہانی

سوچئے گر اسے ہر نفس موت ہے کچھ مداوا بھی ہو بے حسی کے لئے

سورجوں کی وراثت ملی تھی ہمیں در بدر ہو گئے روشنی کے لیے

کوئی آواز ہے وہ کوئی ساز ہے اس سے ہی رنگ و نکہت کا در باز ہے

جس طرف ہو نظر وہ رہے جلوہ گر کیسے سوچیں گے ہم پھر کسی کے لیے

بد دماغی مری ہے وہی جو کہ تھی طرز خود بیں تمہارا وہ ہے جو کہ تھا

چل رہے ہیں انا کے سہارے مگر راستہ ہی نہیں واپسی کے لیے

ہو سلامت مرا عشق جوش جنوں حسن کے راز خود منکشف ہو گئے

اتنی مشکل نہیں رہ گزار فنا بے خودی چاہئے آگاہی کے لیے

اس زمانے سے کوئی توقع نہ رکھ کس میں ہمت ہے خنجر پہ رکھ دے زباں

عدل گاہوں میں انصاف بکنے لگا سچ بھی کہنا ہے جرم آدمی کے لیے

تم سے اک گھونٹ کی پیاس کیا بجھ سکی جب کہ وابستگی تو سمندر سے تھی

ہم نے دریاؤں تک کا سفر طے کیا اپنے بے معنی سی تشنگی کے لیے

آدمی کی ہوس کا ٹھکانا نہیں لیکن انجمؔ خدا سے یہی مانگنا

اک وفادار بیوی ہو بچے ہوں گھر اور کیا چاہئے زندگی کے لیے

شہزاد انجم برہانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sochiye Gar Use Har Nafas Maut Hai Kuchh Mudawa Bhi Ho Be-hisi Ke Liye

Shahzad Anjum Burhani

sochiye gar use har nafas maut hai kuchh mudawa bhi ho be-hisi ke liye
surajon ki wirasat mili thi hamein dar-ba-dar ho gae raushni ke liye

koi aawaz hai wo koi saz hai us se hi rang-o-nikhat ka dar baz hai
jis taraf ho nazar wo rahe jalwa-gar kaise sochenge hum phir kisi ke liye

bad-dimaghi meri hai wahi jo ki thi tarz-e-KHud-bin tumhaara wo hai jo ki tha
chal rahe hain ana ke sahaare magar rasta hi nahin wapsi ke liye

ho salamat mera ishq josh-e-junun husn ke raaz KHud munkashif ho gae
itni mushkil nahin rahguzar-e-fana be-KHudi chahiye aagahi ke liye

is zamane se koi tawaqqo na rakh kis mein himmat hai KHanjar pe rakh de zaban
adl-gahon mein insaf bikne laga sach bhi kahna hai jurm aadmi ke liye

tum se ek ghunT ki pyas kya bujh saki jab ki wabastagi to samundar se thi
hum ne dariyaon tak ka safar tai kiya apne be-mani si tishnagi ke liye

aadmi ki hawas ka Thikana nahin lekin 'anjum' KHuda se yahi mangna
ek wafadar biwi ho bachche hon ghar aur kya chahiye zindagi ke liye

(555) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sochiye Gar Use Har Nafas Maut Hai Kuchh Mudawa Bhi Ho Be-hisi Ke Liye written by Shahzad Anjum Burhani at UrduPoint. Sochiye Gar Use Har Nafas Maut Hai Kuchh Mudawa Bhi Ho Be-hisi Ke Liye is one of the masterpieces written by Shahzad Anjum Burhani. You can also find the complete poetry collection of Shahzad Anjum Burhani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahzad Anjum Burhani' above.

Sochiye Gar Use Har Nafas Maut Hai Kuchh Mudawa Bhi Ho Be-hisi Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sochiye Gar Use Har Nafas Maut Hai Kuchh Mudawa Bhi Ho Be-hisi Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.