AaKHiri Khilaune Ka Matam, Urdu Nazam By Shakeel Azmi

AaKHiri Khilaune Ka Matam is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shakeel Azmi. AaKHiri Khilaune Ka Matam comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read AaKHiri Khilaune Ka Matam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آخری کھلونے کا ماتم

شکیل اعظمی

میں سوتیلا بیٹا

اپنے باپ کی تیسری بیوی کا

ان تینوں میں

پہلے میری ماں آئی

پھر میں آیا

لیٹا بیٹھا

کھڑا ہوا دیوار پکڑ کر

چلنا جب آیا تو ماں کو روگ لگا

میرے کھلونے

سستے اور مٹی کے تھے

سب ٹوٹ گئے

باری باری سب کی خاطر رویا میں

لیکن ماں کے مرنے پر

میں رویا نہیں

ٹوٹا تھا

اور بکھرا تھا

جیسے میرے کھلونے ٹوٹے بکھرے تھے

میرا بچپن

میرا آخری کھلونا تھا

جس کی کرچیں

اب بھی مجھ میں چبھتی ہیں

اور ٹوٹنے کی آوازیں

گونجتی ہیں

شکیل اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

AaKHiri Khilaune Ka Matam

Shakeel Azmi

main sautela beTa
apne bap ki tisri biwi ka
in tinon mein
pahle meri man aai
phir main aaya
leTa baiTha
khaDa hua diwar pakaD kar
chalna jab aaya to man ko rog laga
mere khilaune
saste aur miTTi ke the
sab TuT gae
bari bari sab ki KHatir roya main
lekin man ke marne par
main roya nahin
TuTa tha
aur bikhra tha
jaise mere khilaune TuTe bikhre the
mera bachpan
mera aaKHiri khilauna tha
jis ki kirchen
ab bhi mujh mein chubhti hain
aur TuTne ki aawazen
gunjti hain

(594) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read AaKHiri Khilaune Ka Matam written by Shakeel Azmi at UrduPoint. AaKHiri Khilaune Ka Matam is one of the masterpieces written by Shakeel Azmi. You can also find the complete poetry collection of Shakeel Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shakeel Azmi' above.

AaKHiri Khilaune Ka Matam is a widely read Urdu Nazam. If you like AaKHiri Khilaune Ka Matam, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.