Jab Aas Ka Dipak Bujhta Hai Nazron Ka Salam Aa Jata Hai, Urdu Ghazal By Soz Sikandarpuri

Jab Aas Ka Dipak Bujhta Hai Nazron Ka Salam Aa Jata Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Soz Sikandarpuri. Jab Aas Ka Dipak Bujhta Hai Nazron Ka Salam Aa Jata Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jab Aas Ka Dipak Bujhta Hai Nazron Ka Salam Aa Jata Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جب آس کا دیپک بجھتا ہے نظروں کا سلام آ جاتا ہے

سوز سکندرپوری

جب آس کا دیپک بجھتا ہے نظروں کا سلام آ جاتا ہے

مرنے کی تمنا کرتے ہی جینے کا پیام آ جاتا ہے

جب ہوک سی دل میں اٹھتی ہے جب درد بدلتا ہے پہلو

بے ساختہ میرے ہونٹوں پر کیوں آپ کا نام آ جاتا ہے

کیا بھید ہے اس میں اے واعظ توبہ کا ارادہ کرتے ہی

کیوں کالی گھٹائیں آتی ہیں کیوں رقص میں جام آ جاتا ہے

جی بھر کے نظارہ کرنے کا موقع ہی نہیں ملتا مجھ کو

جب سامنا ان کا ہوتا ہے سجدے کا مقام آ جاتا ہے

اس واسطے اس کو سینے سے دن رات لگائے رکھتا ہوں

اچھا ہے برا ہے جیسا ہے دل وقت پہ کام آ جاتا ہے

اے سوز خموشی بہتر ہے اظہار جنون الفت سے

تیرا ہی نہیں اس قصے میں ان کا بھی تو نام آ جاتا ہے

سوز سکندرپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jab Aas Ka Dipak Bujhta Hai Nazron Ka Salam Aa Jata Hai

Soz Sikandarpuri

jab aas ka dipak bujhta hai nazron ka salam aa jata hai
marne ki tamanna karte hi jine ka payam aa jata hai

jab huk si dil mein uThti hai jab dard badalta hai pahlu
be-saKHta mere honTon par kyon aap ka nam aa jata hai

kya bhed hai is mein ai waiz tauba ka irada karte hi
kyon kali ghaTaen aati hain kyon raqs mein jam aa jata hai

ji bhar ke nazara karne ka mauqa hi nahin milta mujh ko
jab samna un ka hota hai sajde ka maqam aa jata hai

is waste us ko sine se din-raat lagae rakhta hun
achchha hai bura hai jaisa hai dil waqt pe kaam aa jata hai

ai soz KHamoshi behtar hai izhaar-e-junun-e-ulfat se
tera hi nahin is qisse mein un ka bhi to nam aa jata hai

(301) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jab Aas Ka Dipak Bujhta Hai Nazron Ka Salam Aa Jata Hai written by Soz Sikandarpuri at UrduPoint. Jab Aas Ka Dipak Bujhta Hai Nazron Ka Salam Aa Jata Hai is one of the masterpieces written by Soz Sikandarpuri. You can also find the complete poetry collection of Soz Sikandarpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Soz Sikandarpuri' above.

Jab Aas Ka Dipak Bujhta Hai Nazron Ka Salam Aa Jata Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jab Aas Ka Dipak Bujhta Hai Nazron Ka Salam Aa Jata Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.