Qazi Ke Munh Pe Mari Hai Botal Sharab Ki, Urdu Ghazal By Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Qazi Ke Munh Pe Mari Hai Botal Sharab Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Yusuf Ali Khan Nazim. Qazi Ke Munh Pe Mari Hai Botal Sharab Ki comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Qazi Ke Munh Pe Mari Hai Botal Sharab Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قاضی کے منہ پہ ماری ہے بوتل شراب کی

سید یوسف علی خاں ناظم

قاضی کے منہ پہ ماری ہے بوتل شراب کی

یہ عمر بھر میں ایک ہوئی ہے ثواب کی

اے یار تیرے لب پہ تبسم نہیں نمود

پیدا ہے ماہ نو سے کرن آفتاب کی

آیا مژہ پہ لخت دل بے قرار یاد

گردش جو ہم نے سیخ پہ دیکھی کباب کی

تیری کدورتوں نے مجھے خاک کر دیا

تیرے غبار نے مری مٹی خراب کی

میری خطائیں آ نہیں سکتی شمار میں

گنتی ہو کیا ترے کرم بے حساب کی

ساقی ترے کرم سے یہ امید ہے مجھے

ہو روز حشر ہاتھ میں بوتل شراب کی

مستان عشق آئے تعلی پر اے فلک

اب خیر مانگ تو قدح آفتاب کی

نشہ زمیں سے سوئے فلک لے اڑا مجھے

ساقی شراب نے مری مٹی خراب کی

دو روز جا کے آبنہ‌ رویوں کی بزم میں

کیا شکل ہو گئی دل خانہ خراب کی

بجلی نہیں تڑپتی ہے اے دل یہ آسمان

پرواز اڑا رہا ہے ترے اضطراب کی

ابرو کی تیغ سے جو بچا میں تو یار نے

برچھی لگائی بڑھ کے نگاہ عتاب کی

اللہ رے اثر مری بخت سیاہ کا

پیری میں احتیاج نہیں ہے خضاب کی

ناظمؔ مرے گناہ ہیں باہر حساب سے

تشویش کچھ نہیں مجھے روز حساب کی

سید یوسف علی خاں ناظم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qazi Ke Munh Pe Mari Hai Botal Sharab Ki

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

qazi ke munh pe mari hai botal sharab ki
ye umr bhar mein ek hui hai sawab ki

ai yar tere lab pe tabassum nahin numud
paida hai mah-e-nau se kiran aaftab ki

aaya mizha pe laKHt-e-dil-e-be-qarar yaad
gardish jo hum ne siKH pe dekhi kabab ki

teri kuduraton ne mujhe KHak kar diya
tere ghubar ne meri miTTi KHarab ki

meri KHataen aa nahin sakti shumar mein
ginti ho kya tere karam-e-be-hisab ki

saqi tere karam se ye ummid hai mujhe
ho roz-e-hashr hath mein botal sharab ki

mastan-e-ishq aae talli par ai falak
ab KHair mang tu qadah-e-aftab ki

nashsha zamin se su-e-falak le uDa mujhe
saqi sharab ne meri miTTi KHarab ki

do roz ja ke aabna-ruyon ki bazm mein
kya shakl ho gai dil-e-KHana-KHarab ki

bijli nahin taDapti hai ai dil ye aasman
parwaz uDa raha hai tere iztirab ki

abru ki tegh se jo bacha main to yar ne
barchhi lagai baDh ke nigah-e-itab ki

allah re asar meri baKHt-e-siyah ka
piri mein ehtiyaj nahin hai KHizab ki

'nazim' mere gunah hain bahar hisab se
tashwish kuchh nahin mujhe roz-e-hisab ki

(285) ووٹ وصول ہوئے

More Syed Yusuf Ali Khan Nazim Poetry

You can read Qazi Ke Munh Pe Mari Hai Botal Sharab Ki written by Syed Yusuf Ali Khan Nazim at UrduPoint. Qazi Ke Munh Pe Mari Hai Botal Sharab Ki is one of the masterpieces written by Syed Yusuf Ali Khan Nazim. You can also find the complete poetry collection of Syed Yusuf Ali Khan Nazim by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Yusuf Ali Khan Nazim' above.

Qazi Ke Munh Pe Mari Hai Botal Sharab Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qazi Ke Munh Pe Mari Hai Botal Sharab Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.