Hamare Shahr Mein Ghar Is Liye Sunsan Rahte Hain, Urdu Ghazal By Tahir Saood Kiratpuri

Hamare Shahr Mein Ghar Is Liye Sunsan Rahte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Tahir Saood Kiratpuri. Hamare Shahr Mein Ghar Is Liye Sunsan Rahte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hamare Shahr Mein Ghar Is Liye Sunsan Rahte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہمارے شہر میں گھر اس لیے سنسان رہتے ہیں

طاہر سعود کرتپوری

ہمارے شہر میں گھر اس لیے سنسان رہتے ہیں

کہ گھر گھر خوف سے سہمے ہوئے انسان رہتے ہیں

اگر تم عشق کی مسجد میں جانا ٹھان ہی بیٹھے

تو بر خوردار سیکھو اس کے کیا ارکان رہتے ہیں

مجھے مالک مرے بچوں کے ہر غم سے بچا لینا

لب دل پر وہی بن کر مرے مسکان رہتے ہیں

مجھے کوئی دکھا کر خواب میں میرا نگر بولا

یہاں لاحول ورد خاص رکھ شیطان رہتے ہیں

محبت وہ مقدس چیز ہے سن اے دل ناداں

وہ مل جائے تو راحت کے بڑے امکان رہتے ہیں

وہی دل معتبر مفتی ہے اہل دیں کی دنیا میں

کہ جس میں اے زمانے متقی ارمان رہتے ہیں

مری بستی پہ ہرگز قہر برپا ہو نہیں سکتا

مری بستی میں گھر گھر صاحب ایمان رہتے ہیں

میاں شہرت بھی اکثر آدمی پہ ظلم ڈھاتی ہے

وہی اچھے ہیں دنیا میں جو کم پہچان رہتے ہیں

یہاں ہر بات آنکھوں کے اشارے سے کرو طاہرؔ

لگے دیوار سے ہر وقت کتنے کان رہتے ہیں

طاہر سعود کرتپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hamare Shahr Mein Ghar Is Liye Sunsan Rahte Hain

Tahir Saood Kiratpuri

hamare shahr mein ghar is liye sunsan rahte hain
ki ghar ghar KHauf se sahme hue insan rahte hain

agar tum ishq ki masjid mein jaana Than hi baiThe
to bar-KHurdar sikho us ke kya arkan rahte hain

mujhe malik mere bachchon ke har gham se bacha lena
lab-e-dil par wahi ban kar mere muskan rahte hain

mujhe koi dikha kar KHwab mein mera nagar bola
yahan la-haul wird-e-KHas rakh shaitan rahte hain

mohabbat wo muqaddas chiz hai sun ai dil-e-nadan
wo mil jae to rahat ke baDe imkan rahte hain

wahi dil mo'atabar mufti hai ahl-e-din ki duniya mein
ki jis mein ai zamane muttaqi arman rahte hain

meri basti pe hargiz qahr barpa ho nahin sakta
meri basti mein ghar ghar sahib-e-iman rahte hain

miyan shohrat bhi aksar aadmi pe zulm Dhati hai
wahi achchhe hain duniya mein jo kam pahchan rahte hain

yahan har baat aankhon ke ishaare se karo 'tahir'
lage diwar se har waqt kitne kan rahte hain

(416) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hamare Shahr Mein Ghar Is Liye Sunsan Rahte Hain written by Tahir Saood Kiratpuri at UrduPoint. Hamare Shahr Mein Ghar Is Liye Sunsan Rahte Hain is one of the masterpieces written by Tahir Saood Kiratpuri. You can also find the complete poetry collection of Tahir Saood Kiratpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Tahir Saood Kiratpuri' above.

Hamare Shahr Mein Ghar Is Liye Sunsan Rahte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hamare Shahr Mein Ghar Is Liye Sunsan Rahte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.