Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar, Urdu Nazam By Abdul Aziz Fitrat

Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Abdul Aziz Fitrat. Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مری میں جشن شب منور

عبدالعزیز فطرت

گھر اے دل بے قرار زنداں سے کم نہیں قید کون کاٹے

حسین سرما کا چاند دیوانہ وار کو بلا رہا ہے

فسون‌ مہتاب کی قسم ہے پھر آج شب کچھ نہ لکھ سکوں گا

پھر آج گھر میں نہ رہ سکوں گا

کہ اک جنوں سا ہے مجھ پہ طاری

مناظر کوہ و کنج جشن شب منور منا رہے ہیں

بلا رہے ہیں مجھے مرے واسطے قیامت اٹھا رہے ہیں

غضب کی اس برف بستہ ٹھنڈی ہوا میں سیلاب چاندنی کا

بدن تو ہے منجمد رگوں میں لہو مگر تمتما رہا ہے

بلا کی ہے سرد رات لیکن میں آج آوارگی کروں گا

کہ چاند وادی کے ذرے ذرے کو جلوہ خانہ بنا رہا ہے

نہ رک سکوں گا میں آج گھر میں

کہ چاندنی کی کشش غضب ہے

سفینۂ شوق و شعر دنیائے نور میں ڈگمگا رہا ہے

سکوت شب میں فضا بھی جز و سکوت شب ہو گئی ہے فطرتؔ

مہ درخشاں فقط غزل میری زیر لب گنگنا رہا ہے

میں آج گھر پر نہ رک سکوں گا

حسین سرما کا چاند اشاروں سے دیکھ مجھ کو بلا رہا ہے

عبدالعزیز فطرت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar

Abdul Aziz Fitrat

ghar ai dil-e-be-qarar zindan se kam nahin qaid kaun kaTe
hasin sarma ka chand diwana-war ko bula raha hai
fusun-e-mahtab ki qasam hai phir aaj shab kuchh na likh sakunga
phir aaj ghar mein na rah sakunga
ki ek junun sa hai mujh pe tari
manazir-e-koh-o-kunj jashn-e-shab-e-munawwar mana rahe hain
bula rahe hain mujhe mere waste qayamat uTha rahe hain

ghazab ki us barf-basta ThanDi hawa mein sailab chandni ka
badan to hai munjamid ragon mein lahu magar tamtama raha hai
bala ki hai sard raat lekin main aaj aawargi karunga
ki chand wadi ke zarre zarre ko jalwa-KHana bana raha hai
na ruk sakunga main aaj ghar mein
ki chandni ki kashish ghazab hai
safina-e-shauq-o-sher duniya-e-nur mein Dagmaga raha hai

sukut-e-shab mein faza bhi juzw-e-sukut-e-shab ho gai hai 'fitrat'
mah-e-daraKHshan faqat ghazal meri zer-e-lab gunguna raha hai
main aaj ghar par na ruk sakunga
hasin sarma ka chand ishaaron se dekh mujh ko bula raha hai

(776) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar written by Abdul Aziz Fitrat at UrduPoint. Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar is one of the masterpieces written by Abdul Aziz Fitrat. You can also find the complete poetry collection of Abdul Aziz Fitrat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Aziz Fitrat' above.

Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar is a widely read Urdu Nazam. If you like Meri Main Jashn-e-shab-e-munawwar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.