Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista, Urdu Ghazal By Adeeb Saharanpuri

Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Adeeb Saharanpuri. Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نغمۂ عشق بتاں اور ذرا آہستہ

ادیب سہارنپوری

نغمۂ عشق بتاں اور ذرا آہستہ

ذکر نازک بدناں اور ذرا آہستہ

میرے محبوب کی یادوں کے بھڑکتے ہیں چراغ

اے نسیم گزراں اور ذرا آہستہ

جس طرف سے وہ گزرتے ہیں صدا آتی ہے

اے قرار دل و جاں اور ذرا آہستہ

دل ہر اک گام پہ لوگوں نے بچھا رکھے ہیں

اور اے سرو رواں اور ذرا آہستہ

کوچۂ دوست میں آہستہ روی کے با وصف

دل یہ کہتا ہے یاں اور ذرا آہستہ

ان پہ موج نفس گل بھی گراں گزرے ہے

پرسش غم زدگاں اور ذرا آہستہ

باندھ کر عہد وفا کوئی گیا ہے مجھ سے

اے مری عمر رواں اور ذرا آہستہ

کم عبادت سے نہیں ذکر بتوں کا بھی عزیزؔ

بارے توصیف بتاں اور ذرا آہستہ

ادیب سہارنپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista

Adeeb Saharanpuri

naghma-e-ishq-e-butan aur zara aahista
zikr-e-nazuk-badanan aur zara aahista

mere mahbub ki yaadon ke bhaDakte hain charagh
ai nasim-e-guzaran aur zara aahista

jis taraf se wo guzarte hain sada aati hai
ai qarar-e-dil-o-jaan aur zara aahista

dil har ek gam pe logon ne bichha rakkhe hain
aur ai sarw-e-rawan aur zara aahista

kucha-e-dost mein aahista-rawi ke ba-wasf
dil ye kahta hai yan aur zara aahista

un pe mauj-e-nafas-e-gul bhi giran guzre hai
pursish-e-gham-zadagan aur zara aahista

bandh kar ahd-e-wafa koi gaya hai mujh se
ai meri umr-e-rawan aur zara aahista

kam ibaadat se nahin zikr buton ka bhi 'aziz'
bare tausif-e-butan aur zara aahista

(729) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista written by Adeeb Saharanpuri at UrduPoint. Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista is one of the masterpieces written by Adeeb Saharanpuri. You can also find the complete poetry collection of Adeeb Saharanpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Adeeb Saharanpuri' above.

Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista is a widely read Urdu Ghazal. If you like Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.