Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui, Urdu Ghazal By Agha Shayar Qazalbash

Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Shayar Qazalbash. Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل سرد ہو گیا ہے طبیعت بجھی ہوئی

آغا شاعر قزلباش

دل سرد ہو گیا ہے طبیعت بجھی ہوئی

اب کیا ہے وہ اتر گئی ندی چڑھی ہوئی

تم جان دے کے لیتے ہو یہ بھی نئی ہوئی

لیتے نہیں سخی تو کوئی چیز دی ہوئی

اس ٹوٹے پھوٹے دل کو نہ چھیڑو پرے ہٹو

کیا کر رہے ہو آگ ہے اس میں دبی ہوئی

لو ہم بتائیں غنچہ و گل میں ہے فرق کیا

اک بات ہے کہی ہوئی اک بے کہی ہوئی

خوں ریز جس قدر ہیں وہ رہتے ہیں سرنگوں

خنجر ہوا کٹار ہوئی یا چھری ہوئی

شاعرؔ خدا کے واسطے توبہ کا کیا قصور

ہے کس کے منہ سے پھر یہ صبوحی لگی ہوئی

آغا شاعر قزلباش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui

Agha Shayar Qazalbash

dil sard ho gaya hai tabiat bujhi hui
ab kya hai wo utar gai naddi chaDhi hui

tum jaan de ke lete ho ye bhi nai hui
lete nahin saKHi to koi chiz di hui

is TuTe phuTe dil ko na chheDo pare haTo
kya kar rahe ho aag hai is mein dabi hui

lo hum bataen ghuncha-o-gul mein hai farq kya
ek baat hai kahi hui ek be-kahi hui

KHun-rez jis qadar hain wo rahte hain sar-nigun
KHanjar hua kaTar hui ya chhuri hui

'shair' KHuda ke waste tauba ka kya qusur
hai kis ke munh se phir ye subuhi lagi hui

(945) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui written by Agha Shayar Qazalbash at UrduPoint. Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui is one of the masterpieces written by Agha Shayar Qazalbash. You can also find the complete poetry collection of Agha Shayar Qazalbash by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Shayar Qazalbash' above.

Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Sard Ho Gaya Hai Tabiat Bujhi Hui, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.