Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai, Urdu Ghazal By Akbar Hyderabadi

Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akbar Hyderabadi. Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جن کے نصیب میں آب و دانہ کم کم ہوتا ہے

اکبر حیدرآبادی

جن کے نصیب میں آب و دانہ کم کم ہوتا ہے

مائل ان کی سمت زمانہ کم کم ہوتا ہے

رستے ہی میں ہو جاتی ہیں باتیں بس دو چار

اب تو ان کے گھر بھی جانا کم کم ہوتا ہے

مشکل ہی سے کر لیتی ہے دنیا اسے قبول

ایسی حقیقت جس میں فسانہ کم کم ہوتا ہے

کبھی جو باتیں عشق کے سال و سن کا حاصل تھیں

اب ان باتوں کا یاد آنا کم کم ہوتا ہے

رند سبھی ساغر پر ساغر چھلکاتے جاتے ہیں

کیوں لبریز مرا پیمانہ کم کم ہوتا ہے

بات پتے کی کر جاتا ہے یوں تو کبھی کبھی

ہوش میں لیکن یہ دیوانہ کم کم ہوتا ہے

کتنی مقدس ہوگی اکبرؔ اس بچے کی پیاس

جس کی اک ٹھوکر سے روانہ زمزم ہوتا ہے

اکبر حیدرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai

Akbar Hyderabadi

jin ke nasib mein aab-o-dana kam kam hota hai
mail un ki samt zamana kam kam hota hai

raste hi mein ho jati hain baaten bas do-chaar
ab to un ke ghar bhi jaana kam kam hota hai

mushkil hi se kar leti hai duniya use qubul
aisi haqiqat jis mein fasana kam kam hota hai

kabhi jo baaten ishq ke sal-o-sin ka hasil thin
ab un baaton ka yaad aana kam kam hota hai

rind sabhi saghar par saghar chhalkate jate hain
kyun labrez mera paimana kam kam hota hai

baat pate ki kar jata hai yun to kabhi kabhi
hosh mein lekin ye diwana kam kam hota hai

kitni muqaddas hogi 'akbar' us bachche ki pyas
jis ki ek Thokar se rawana zamzam hota hai

(648) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai written by Akbar Hyderabadi at UrduPoint. Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai is one of the masterpieces written by Akbar Hyderabadi. You can also find the complete poetry collection of Akbar Hyderabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akbar Hyderabadi' above.

Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.