Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai, Urdu Ghazal By Akbar Hyderabadi

Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akbar Hyderabadi. Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جن پہ اجل طاری تھی ان کو زندہ کرتا ہے

اکبر حیدرآبادی

جن پہ اجل طاری تھی ان کو زندہ کرتا ہے

سورج جل کر کتنے دلوں کو ٹھنڈا کرتا ہے

کتنے شہر اجڑ جاتے ہیں کتنے جل جاتے ہیں

اور چپ چاپ زمانہ سب کچھ دیکھا کرتا ہے

مجبوروں کی بات الگ ہے ان پر کیا الزام

جس کو نہیں کوئی مجبوری وہ کیا کرتا ہے

ہمت والے پل میں بدل دیتے ہیں دنیا کو

سوچنے والا دل تو بیٹھا سوچا کرتا ہے

جس بستی میں نفسا نفسی کا قانون چلے

اس بستی میں کون کسی کی پروا کرتا ہے

پیار بھری آواز کی لے میں مدھم لہجے میں

تنہائی میں کوئی مجھ سے بولا کرتا ہے

اس اک شمع فروزاں کے ہیں اور بھی پروانے

چاند اکیلا کب سورج کا حلقہ کرتا ہے

روح برہنہ نفس برہنہ ذات برہنہ جس کی

جسم پہ وہ کیا کیا پوشاکیں پہنا کرتا ہے

اشکوں کے سیلاب رواں کو اکبرؔ مت روکو

بہہ جائے تو بوجھ یہ دل کا ہلکا کرتا ہے

اکبر حیدرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai

Akbar Hyderabadi

jin pe ajal tari thi un ko zinda karta hai
suraj jal kar kitne dilon ko ThanDa karta hai

kitne shahr ujaD jate hain kitne jal jate hain
aur chup-chap zamana sab kuchh dekha karta hai

majburon ki baat alag hai un par kya ilzam
jis ko nahin koi majburi wo kya karta hai

himmat wale pal mein badal dete hain duniya ko
sochne wala dil to baiTha socha karta hai

jis basti mein nafsa-nafsi ka qanun chale
us basti mein kaun kisi ki parwa karta hai

pyar bhari aawaz ki lai mein maddham lahje mein
tanhai mein koi mujh se bola karta hai

us ek sham-e-farozan ke hain aur bhi parwane
chand akela kab suraj ka halqa karta hai

ruh barahna nafs barahna zat barhana jis ki
jism pe wo kya kya poshaken pahna karta hai

ashkon ke sailab-e-rawan ko 'akbar' mat roko
bah jae to bujh ye dil ka halka karta hai

(647) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai written by Akbar Hyderabadi at UrduPoint. Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai is one of the masterpieces written by Akbar Hyderabadi. You can also find the complete poetry collection of Akbar Hyderabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akbar Hyderabadi' above.

Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jin Pe Ajal Tari Thi Un Ko Zinda Karta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.