Dil-e-muztar Mujhe Ek Baat Bata Sakta Hai, Urdu Ghazal By Ali Sarmad

Dil-e-muztar Mujhe Ek Baat Bata Sakta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ali Sarmad. Dil-e-muztar Mujhe Ek Baat Bata Sakta Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Dil-e-muztar Mujhe Ek Baat Bata Sakta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل مضطر مجھے اک بات بتا سکتا ہے

علی سرمد

دل مضطر مجھے اک بات بتا سکتا ہے

تو کسی طور مجھے چھوڑ کے جا سکتا ہے

یہ تری بھول ہے میں تیرے سبب زندہ ہوں

مجھ سا ضدی تو بدن توڑ کے جا سکتا ہے

جس نے اس خاک کے انسان کو عزت دی ہے

وہی اس خاک کو مٹی میں ملا سکتا ہے

تو مرے ساتھ تو ہے پھر بھی مرے ساتھ نہیں

اس سے بڑھ کر بھی مجھے کوئی ستا سکتا ہے

مرے مولا مری تنہائی مٹانے کے لیے

میرے جیسا ہی تو اک اور بنا سکتا ہے

مجھے معلوم ہے ملنا نہیں ممکن لیکن

تو کسی رات مرے خواب میں آ سکتا ہے

مری الفت کا سر بزم تماشہ کر کے

آپ اپنے کو تو اتنا بھی گرا سکتا ہے

زخم الفت سے نوازا تو مرا محسن ہے

تو مری ذات پہ احسان جتا سکتا ہے

اپنے دلبر کے بلاوے پہ بہانے کیسے

وہ تو محبوب ہے جب چاہے بلا سکتا ہے

وہ جو روتے کو ہنسانے کا ہنر رکھتے ہیں

گر وہ روئیں تو انہیں کون ہنسا سکتا ہے

اپنی مرضی سے مجھے چھوڑ کے جانے والا

مری یادوں کو کبھی دل سے مٹا سکتا ہے

مجھ کو جینے سے محبت نہ محبت کی ہوس

میری طرح کوئی جذبوں کو سلا سکتا ہے

سیہ بختی میں تری ذات بھی شامل ہے علیؔ

تو کسی طور اسے دور ہٹا سکتا ہے

علی سرمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil-e-muztar Mujhe Ek Baat Bata Sakta Hai

Ali Sarmad

dil-e-muztar mujhe ek baat bata sakta hai
tu kisi taur mujhe chhoD ke ja sakta hai

ye teri bhul hai main tere sabab zinda hun
mujh sa ziddi to badan toD ke ja sakta hai

jis ne is KHak ke insan ko izzat di hai
wahi is KHak ko miTTi mein mila sakta hai

to mere sath to hai phir bhi mere sath nahin
is se baDh kar bhi mujhe koi sata sakta hai

mere maula meri tanhai miTane ke liye
mere jaisa hi tu ek aur bana sakta hai

mujhe malum hai milna nahin mumkin lekin
tu kisi raat mere KHwab mein aa sakta hai

meri ulfat ka sar-e-bazm tamasha kar ke
aap apne ko tu itna bhi gira sakta hai

zaKHm-e-ulfat se nawaza tu mera mohsin hai
tu meri zat pe ehsan jata sakta hai

apne dilbar ke bulawe pe bahane kaise
wo to mahbub hai jab chahe bula sakta hai

wo jo rote ko hansane ka hunar rakhte hain
gar wo roen to unhen kaun hansa sakta hai

apni marzi se mujhe chhoD ke jaane wala
meri yaadon ko kabhi dil se miTa sakta hai

mujh ko jine se mohabbat na mohabbat ki hawas
meri tarah koi jazbon ko sula sakta hai

siyah-baKHti mein teri zat bhi shamil hai 'ali'
tu kisi taur use dur haTa sakta hai

(2520) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil-e-muztar Mujhe Ek Baat Bata Sakta Hai written by Ali Sarmad at UrduPoint. Dil-e-muztar Mujhe Ek Baat Bata Sakta Hai is one of the masterpieces written by Ali Sarmad. You can also find the complete poetry collection of Ali Sarmad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ali Sarmad' above.

Dil-e-muztar Mujhe Ek Baat Bata Sakta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil-e-muztar Mujhe Ek Baat Bata Sakta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.