Har Ek Zehn Mein Sara Hisab Rahta Hai, Urdu Ghazal By Alok Yadav

Har Ek Zehn Mein Sara Hisab Rahta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Alok Yadav. Har Ek Zehn Mein Sara Hisab Rahta Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Har Ek Zehn Mein Sara Hisab Rahta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر ایک ذہن میں سارا حساب رہتا ہے

آلوک یادو

ہر ایک ذہن میں سارا حساب رہتا ہے

سوال سننے سے پہلے جواب رہتا ہے

وہ ایک موڑ جہاں ایک دن لٹا تھا میں

وہیں مرا دل خانہ خراب رہتا ہے

ہوا کے دم پہ ہے جب زندگی کا دار و مدار

تو کیوں غرور تجھے اے حباب رہتا ہے

چلے گی چال کوئی گردش فلک شاید

کئی دنوں سے بڑا اضطراب رہتا ہے

وہ جھولی کیسے بھرے پیار کرنے والوں کی

اسی فراق میں ٹوٹا شہاب رہتا ہے

مرے لیے ہیں مصیبت یہ آئنہ خانے

یہاں ضمیر مرا بے نقاب رہتا ہے

حسین خواب ہوں کتنے ہی پر کوئی آلوکؔ

تمام عمر کہاں محو خواب رہتا ہے

آلوک یادو

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Ek Zehn Mein Sara Hisab Rahta Hai

Alok Yadav

har ek zehn mein sara hisab rahta hai
sawal sunne se pahle jawab rahta hai

wo ek moD jahan ek din luTa tha main
wahin mera dil-e-KHana-KHarab rahta hai

hawa ke dam pe hai jab zindagi ka dar-o-madar
to kyun ghurur tujhe ai habab rahta hai

chalegi chaal koi gardish-e-falak shayad
kai dinon se baDa iztirab rahta hai

wo jholi kaise bhare pyar karne walon ki
isi firaq mein TuTa shahab rahta hai

mere liye hain musibat ye aaina-KHane
yahan zamir mera be-naqab rahta hai

hasin KHwab hon kitne hi par koi 'alok'
tamam umr kahan mahw-e-KHwab rahta hai

(828) ووٹ وصول ہوئے

You can read Har Ek Zehn Mein Sara Hisab Rahta Hai written by Alok Yadav at UrduPoint. Har Ek Zehn Mein Sara Hisab Rahta Hai is one of the masterpieces written by Alok Yadav. You can also find the complete poetry collection of Alok Yadav by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Alok Yadav' above.

Har Ek Zehn Mein Sara Hisab Rahta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Ek Zehn Mein Sara Hisab Rahta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.