Zindagi Se Meri Is Tarah Mulaqat Hui, Urdu Ghazal By Alqama Shibli

Zindagi Se Meri Is Tarah Mulaqat Hui is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Alqama Shibli. Zindagi Se Meri Is Tarah Mulaqat Hui comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zindagi Se Meri Is Tarah Mulaqat Hui on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زندگی سے مری اس طرح ملاقات ہوئی

علقمہ شبلی

زندگی سے مری اس طرح ملاقات ہوئی

لب ہلے آنکھ ملی اور نہ کوئی بات ہوئی

درد کی دھوپ نہیں یاد کا سایہ بھی نہیں

اب تو قسمت میری بے رنگئ حالات ہوئی

صرف کل ہی نہیں اس دور میں بھی دیدہ وری

نذر اوہام ہوئی صید روایات ہوئی

کل تو محور تھے مری ذات کے یہ کون و مکاں

کائنات آج جو سمٹی تو مری ذات ہوئی

سر کو پھوڑا کئے پتھر سے سمندر سے لڑے

صبح یوں شام ہوئی شام سے یوں رات ہوئی

گھر مرا دیکھ لیا سیل بلا نے شبلیؔ

آگہی کیا ہوئی اک درد کی سوغات ہوئی

علقمہ شبلی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zindagi Se Meri Is Tarah Mulaqat Hui

Alqama Shibli

zindagi se meri is tarah mulaqat hui
lab hile aankh mili aur na koi baat hui

dard ki dhup nahin yaad ka saya bhi nahin
ab to qismat meri be-rangi-e-haalat hui

sirf kal hi nahin is daur mein bhi dida-wari
nazr-e-auham hui said-e-riwayat hui

kal to mehwar the meri zat ke ye kaun-o-makan
kaenat aaj jo simTi to meri zat hui

sar ko phoDa kiye patthar se samundar se laDe
subh yun sham hui sham se yun raat hui

ghar mera dekh liya sail-e-bala ne 'shibli'
aagahi kya hui ek dard ki saughat hui

(870) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zindagi Se Meri Is Tarah Mulaqat Hui written by Alqama Shibli at UrduPoint. Zindagi Se Meri Is Tarah Mulaqat Hui is one of the masterpieces written by Alqama Shibli. You can also find the complete poetry collection of Alqama Shibli by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Alqama Shibli' above.

Zindagi Se Meri Is Tarah Mulaqat Hui is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zindagi Se Meri Is Tarah Mulaqat Hui, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.