Umr Bhar Isko Rahi Ek Sargirani Aur Bas, Urdu Ghazal By Anjum Usman

Umr Bhar Isko Rahi Ek Sargirani Aur Bas is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anjum Usman. Umr Bhar Isko Rahi Ek Sargirani Aur Bas comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Umr Bhar Isko Rahi Ek Sargirani Aur Bas on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عمر بھر اس کو رہی اک سرگرانی اور بس

انجم عثمان

عمر بھر اس کو رہی اک سرگرانی اور بس

وہ تو کہیے تھی ہماری سخت جانی اور بس

ایک مشت خاک بالآخر جو خاکستر ہوئی

سو مآل زندگی ہے رائیگانی اور بس

اک دیار بے اماں کی کج ادائی دم بدم

اک شب ہجراں کی پیہم نوحہ خوانی اور بس

ماہ و انجم حسن پرواز تخیل کے لیے

رہ گزر کی دھول منزل کی نشانی اور بس

عاشقی کے باب میں دامن دریدہ ہی رہے

اک نظر بس اک تبسم کل کہانی اور بس

رقص میں ہیں وحشتیں قریہ بہ قریہ کو بہ کو

یہ جنون عشق کی ریشہ داوانی اور بس

تھا شکست شوق کا عنوان عشق اولیں

پیش پا افتادہ میرا عشق ثانی اور بس

زندگی کا استعارہ ہے دل شوریدہ سر

ہے رگوں میں عشق کی آتش فشانی اور بس

دل صحیفہ نقش سے آراستہ اس کے رہا

دل صحیفے میں لکھی اس کی کہانی اور بس

درد کا درماں سخن ہائے شگفتہ بھی نہیں

بے اثر ہے سب تری جادو بیانی اور بس

ہے شب ہجراں طلسم تیرگی انجمؔ دراز

چشم گریہ کی ہے خونابہ فشانی اور بس

انجم عثمان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Umr Bhar Isko Rahi Ek Sargirani Aur Bas

Anjum Usman

umr bhar is ko rahi ek sargirani aur bas
wo to kahiye thi hamari saKHt-jaani aur bas

ek musht-e-KHak bil-aKHir jo KHakistar hui
so maal-e-zindagi hai raegani aur bas

ek dayar-e-be-aman ki kaj-adai dam-ba-dam
ek shab-e-hijran ki paiham nauha-KHwani aur bas

mah-o-anjum husn-e-parwaz-e-taKHayyul ke liye
rahguzar ki dhul manzil ki nishani aur bas

aashiqi ke bab mein daman-darida hi rahe
ek nazar bas ek tabassum kul kahani aur bas

raqs mein hain wahshaten qarya-ba-qarya ku-ba-ku
ye junun-e-ishq ki resha-dawani aur bas

tha shaikast-e-shauq ka unwan ishq-e-awwalin
pesh-e-pa uftada mera ishq-e-sani aur bas

zindagi ka istiara hai dil-e-shorida-sar
hai ragon mein ishq ki aatish-fishani aur bas

dil sahifa naqsh se aarasta us ke raha
dil sahife mein likhi is ki kahani aur bas

dard ka darman suKHan-ha-e-shagufta bhi nahin
be-asar hai sab teri jadu-bayani aur bas

hai shab-e-hijran tilism-e-tirgi 'anjum' daraaz
chashm-e-girya ki hai KHunaba-fishani aur bas

(800) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Umr Bhar Isko Rahi Ek Sargirani Aur Bas written by Anjum Usman at UrduPoint. Umr Bhar Isko Rahi Ek Sargirani Aur Bas is one of the masterpieces written by Anjum Usman. You can also find the complete poetry collection of Anjum Usman by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anjum Usman' above.

Umr Bhar Isko Rahi Ek Sargirani Aur Bas is a widely read Urdu Ghazal. If you like Umr Bhar Isko Rahi Ek Sargirani Aur Bas, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.