Do Paise Mein Tin Khilaune, Urdu Nazam By Anwar Afsar Shuoor

Do Paise Mein Tin Khilaune is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Anwar Afsar Shuoor. Do Paise Mein Tin Khilaune comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Do Paise Mein Tin Khilaune on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دو پیسے میں تین کھلونے

انور افسر شعور

دو پیسے میں تین کھلونے دو پیسے میں تین

سادہ اور رنگین

یہ چینی کی گڑیا ہے

ایک طرف سے ننھی منی ایک طرف سے بڑھیا ہے

جیب میں یوں آ جاتی ہے یہ جیسے ذرا سی پڑیا ہے

سادہ اور رنگین

دو پیسے میں تین کھلونے دو پیسے میں تین

یہ مٹی کی گھوڑی ہے

اس کی مانگ بہت ہے لیکن اس کی قیمت تھوڑی ہے

ساتھ اگر گھوڑا بھی ہو تو سب سے اچھی جوڑی ہے

سادہ اور رنگین

دو پیسے میں تین کھلونے دو پیسے میں تین

یہ چھوٹی سی موٹر ہے

ٹلو آؤ پلو آؤ دیکھو کیسی موٹر ہے

سب سے بہتر سب سے پیاری سب سے اچھی موٹر ہے

سادہ اور رنگین

دو پیسے میں تین کھلونے دو پیسے میں تین

یہ چڑیا کا بچہ ہے

اس میں بالکل جان نہیں ہے جسم بھی کچھ کچھ کچا ہے

جھوٹ نہیں بولوں گا ہرگز میرا وعدہ سچا ہے

سادہ اور رنگین

دو پیسے میں تین کھلونے دو پیسے میں تین

یہ طوطے کا پنجرہ ہے

اک ننھا منا سا طوطا اس میں گم سم بیٹھا ہے

کچھ نہیں کھاتا کچھ نہیں پیتا یوں ہی بیٹھا رہتا ہے

سادہ اور رنگین

دو پیسے میں تین کھلونے دو پیسے میں تین

انور افسر شعور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Do Paise Mein Tin Khilaune

Anwar Afsar Shuoor

do paise mein tin khilaune do paise mein tin
sada aur rangin
ye chini ki guDiya hai
ek taraf se nannhi munni ek taraf se buDhiya hai
jeb mein yun aa jati hai ye jaise zara si puDiya hai
sada aur rangin
do paise mein tin khilaune do paise mein tin
ye miTTi ki ghoDi hai
is ki mang bahut hai lekin is ki qimat thoDi hai
sath agar ghoDa bhi ho to sab se achchhi joDi hai
sada aur rangin
do paise mein tin khilaune do paise mein tin
ye chhoTi si motor hai
Tillu aao pillu aao dekho kaisi motor hai
sab se behtar sab se pyari sab se achchhi motor hai
sada aur rangin
do paise mein tin khilaune do paise mein tin
ye chiDiya ka bachcha hai
is mein bilkul jaan nahin hai jism bhi kuchh kuchh kachcha hai
jhuT nahin bolunga hargiz mera wada sachcha hai
sada aur rangin
do paise mein tin khilaune do paise mein tin
ye tote ka pinjra hai
ek nanha munna sa tota is mein gum-sum baiTha hai
kuchh nahin khata kuchh nahin pita yun hi baiTha rahta hai
sada aur rangin
do paise mein tin khilaune do paise mein tin

(1057) ووٹ وصول ہوئے

You can read Do Paise Mein Tin Khilaune written by Anwar Afsar Shuoor at UrduPoint. Do Paise Mein Tin Khilaune is one of the masterpieces written by Anwar Afsar Shuoor. You can also find the complete poetry collection of Anwar Afsar Shuoor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Afsar Shuoor' above.

Do Paise Mein Tin Khilaune is a widely read Urdu Nazam. If you like Do Paise Mein Tin Khilaune, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.