Tum Aur Main, Urdu Nazam By Ateeya Daud

Tum Aur Main is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ateeya Daud. Tum Aur Main comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Tum Aur Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تم اور میں

عطیہ داؤد

مجھے گوشت کی تھالی سمجھ کر

چیل کی طرح جھپٹا مارتے ہو

اسے میں پیار سمجھوں

اتنی بھولی میں نہیں ہوں

مجھ سے تمہارا موہ ایسا ہے

جیسا بلی کا چھیچھڑے سے

اس کو میں پیار سمجھوں

اتنی بھولی میں نہیں ہوں

میرے بدن کو کھلونا جان کر

مرضی ہو تو کھیلو مرضی ہو تو توڑ ڈالو

اسے میں پیار سمجھوں

اتنی بھولی میں نہیں ہوں

میں تمہارے شو کیس میں سجائی گڑیا

کتنی بھی اس کی تعریف کرو

اسے میں پیار سمجھوں

اتنی بھولی نہیں ہوں میں

رسموں کی نائکہ مجھے ویشیا بنائے

اور نچائے تمہاری خواہشوں کے چکلے میں

اسے میں پیار سمجھوں

اتنی بھولی میں نہیں ہوں

عطیہ داؤد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tum Aur Main

Ateeya Daud

mujhe gosht ki thaali samajh kar
chil ki tarah jhapTa marte ho
ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun
mujh se tumhaara moh aisa hai
jaisa billi ka chhichhDe se
is ko main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun
mere badan ko khilauna jaan kar
marzi ho to khelo marzi ho to toD Dalo
ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun
main tumhaare show-case mein sajai guDiya
kitni bhi us ki tarif karo
ise main pyar samjhun
itni bholi nahin hun main
rasmon ki naika mujhe waishya banae
aur nachae tumhaari KHwahishon ke chakle mein
ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun

(892) ووٹ وصول ہوئے

You can read Tum Aur Main written by Ateeya Daud at UrduPoint. Tum Aur Main is one of the masterpieces written by Ateeya Daud. You can also find the complete poetry collection of Ateeya Daud by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ateeya Daud' above.

Tum Aur Main is a widely read Urdu Nazam. If you like Tum Aur Main, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.