Mohabbaten Bhi Likhi Hui Hain Adawaten Bhi Likhi Hui Hain, Urdu Ghazal By Athar Saleemi

Mohabbaten Bhi Likhi Hui Hain Adawaten Bhi Likhi Hui Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Athar Saleemi. Mohabbaten Bhi Likhi Hui Hain Adawaten Bhi Likhi Hui Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mohabbaten Bhi Likhi Hui Hain Adawaten Bhi Likhi Hui Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبتیں بھی لکھی ہوئی ہیں عداوتیں بھی لکھی ہوئی ہیں

اطہر سلیمی

محبتیں بھی لکھی ہوئی ہیں عداوتیں بھی لکھی ہوئی ہیں

کتاب دل میں تو جینے مرنے کی مدتیں بھی لکھی ہوئی ہیں

برہنہ پیڑوں کے زاویوں میں گھنے اندھیرے اگے ہیں لیکن

انہی اندھیروں میں روشنی کی عبارتیں بھی لکھی ہوئی ہیں

یہی زمیں ہے کہ جس نے مجھ کو مرا ہی قاتل بنا دیا ہے

اسی زمیں پر مرے لہو کی شہادتیں بھی لکھی ہوئی ہیں

حنوط چہروں کے آئنوں میں ہوا کی لہروں نے یہ بھی دیکھا

کھنڈر کھنڈر پر نئے دنوں کی بشارتیں بھی لکھی ہوئی ہیں

مری نظر میں سراغ منزل شعور بن کر چمک رہا ہے

مری جبیں پر کڑے سفر کی مسافتیں بھی لکھی ہوئی ہیں

ستم کے ماروں کی بے حسی کو تماشا گاہوں میں لانے والو

نحیف جسموں کی بے بسی میں بغاوتیں بھی لکھی ہوئی ہیں

جدید حرفوں کے دائروں میں پرانی خوشبو رچی ہوئی ہے

صدا کے رخ پر گئی رتوں کی شباہتیں بھی لکھی ہوئی ہیں

زمیں کی ٹھنڈی تہوں کے اندر الاؤ کروٹ بدل رہے ہیں

ہوا کے ساکت پنے پہ اطہرؔ قیامتیں بھی لکھی ہوئی ہیں

اطہر سلیمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbaten Bhi Likhi Hui Hain Adawaten Bhi Likhi Hui Hain

Athar Saleemi

mohabbaten bhi likhi hui hain adawaten bhi likhi hui hain
kitab-e-dil mein to jine marne ki muddaten bhi likhi hui hain

barahna peDon ke zawiyon mein ghane andhere uge hain lekin
inhi andheron mein raushni ki ibaraten bhi likhi hui hain

yahi zamin hai ki jis ne mujh ko mera hi qatil bana diya hai
isi zamin par mere lahu ki shahadaten bhi likhi hui hain

hanut chehron ke aainon mein hawa ki lahron ne ye bhi dekha
khanDar khanDar par nae dinon ki bashaaraten bhi likhi hui hain

meri nazar mein suragh-e-manzil shuur ban kar chamak raha hai
meri jabin par kaDe safar ki masafaten bhi likhi hui hain

sitam ke maron ki be-hisi ko tamasha-gahon mein lane walo
nahif jismon ki bebasi mein baghawaten bhi likhi hui hain

jadid harfon ke daeron mein purani KHushbu rachi hui hai
sada ke ruKH par gai ruton ki shabahaten bhi likhi hui hain

zamin ki ThanDi tahon ke andar alaw karwaT badal rahe hain
hawa ke sakit pane pe 'athar' qayamaten bhi likhi hui hain

(509) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbaten Bhi Likhi Hui Hain Adawaten Bhi Likhi Hui Hain written by Athar Saleemi at UrduPoint. Mohabbaten Bhi Likhi Hui Hain Adawaten Bhi Likhi Hui Hain is one of the masterpieces written by Athar Saleemi. You can also find the complete poetry collection of Athar Saleemi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Athar Saleemi' above.

Mohabbaten Bhi Likhi Hui Hain Adawaten Bhi Likhi Hui Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mohabbaten Bhi Likhi Hui Hain Adawaten Bhi Likhi Hui Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.