Yahan To Shahr Se Diwar-o-dar Hi Ghaeb Hain, Urdu Ghazal By Ayaz Rasool Nazki

Yahan To Shahr Se Diwar-o-dar Hi Ghaeb Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ayaz Rasool Nazki. Yahan To Shahr Se Diwar-o-dar Hi Ghaeb Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yahan To Shahr Se Diwar-o-dar Hi Ghaeb Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہاں تو شہر سے دیوار و در ہی غائب ہیں (ردیف .. ا)

ایاز رسول نازکی

یہاں تو شہر سے دیوار و در ہی غائب ہیں

چھتوں کے بعد مکانوں کو لے اڑی ہے ہوا

تمام شہر تھا سڑکوں پہ آج رات گئے

سنا ہے پھر سے جوانوں کو لے اڑی ہے ہوا

سفر ہے رات کا صحرا سے واپسی کیسی

تمہارے سارے نشانوں کو لے اڑی ہے ہوا

چلے گی وقت کی آندھی تو کس کو بخشے گی

نہ جانے کتنے زمانوں کو لے اڑی ہے ہوا

رہا نہ اب وہ لب جو رہا نہ مے خانہ

ہمارے سارے ٹھکانوں کو لے اڑی ہے ہوا

چلو وہ وصل کا وعدہ بھی کالعدم ٹھہرا

تمہارے سارے بہانوں کو لے اڑی ہے ہوا

ہوا کے دوش پہ اڑتے تو ہیں پرندے پر

نظر کے سامنے دانوں کو لے اڑی ہے ہوا

پڑے ہیں تیر یہاں غازیوں کے ترکش میں

اندھیری شب میں کمانوں کو لے اڑی ہے ہوا

غلط تھے سارے وہ میزاں فریب تخمینے

ہمارے سارے گمانوں کو لے اڑی ہے ہوا

رکھے تھے کس نے وہ اوراق طاقچے پہ ایازؔ

وہ چاہتوں کے فسانوں کو لے اڑی ہے ہوا

ایاز رسول نازکی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yahan To Shahr Se Diwar-o-dar Hi Ghaeb Hain

Ayaz Rasool Nazki

yahan to shahr se diwar-o-dar hi ghaeb hain
chhaton ke baad makanon ko le uDi hai hawa

tamam shahr tha saDkon pe aaj raat gae
suna hai phir se jawanon ko le uDi hai hawa

safar hai raat ka sahra se wapsi kaisi
tumhaare sare nishanon ko le uDi hai hawa

chalegi waqt ki aandhi to kis ko baKHshegi
na jaane kitne zamanon ko le uDi hai hawa

raha na ab wo lab-e-ju raha na mai-KHana
hamare sare Thikanon ko le uDi hai hawa

chalo wo wasl ka wada bhi kal-adam Thahra
tumhaare sare bahanon ko le uDi hai hawa

hawa ke dosh pe uDte to hain parinde par
nazar ke samne danon ko le uDi hai hawa

paDe hain tir yahan ghaziyon ke tarkash mein
andheri shab mein kamanon ko le uDi hai hawa

ghalat the sare wo mizan fareb taKHmine
hamare sare gumanon ko le uDi hai hawa

rakhe the kis ne wo auraq taqche pe 'ayaz'
wo chahaton ke fasanon ko le uDi hai hawa

(748) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yahan To Shahr Se Diwar-o-dar Hi Ghaeb Hain written by Ayaz Rasool Nazki at UrduPoint. Yahan To Shahr Se Diwar-o-dar Hi Ghaeb Hain is one of the masterpieces written by Ayaz Rasool Nazki. You can also find the complete poetry collection of Ayaz Rasool Nazki by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ayaz Rasool Nazki' above.

Yahan To Shahr Se Diwar-o-dar Hi Ghaeb Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yahan To Shahr Se Diwar-o-dar Hi Ghaeb Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.