Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano, Urdu Ghazal By Aziz Lakhnavi

Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aziz Lakhnavi. Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

انتہائے عشق ہو یوں عشق میں کامل بنو

عزیز لکھنوی

انتہائے عشق ہو یوں عشق میں کامل بنو

خاک ہو کر بھی نشان سرحد منزل بنو

میرے شکوؤں پر یہ کہنا رحم کے قابل بنو

مدعا یہ ہے کہ اپنے حال سے غافل بنو

غرق ہو کر رول لو موتی خود اپنے واسطے

ڈوب کر ابھرو تو اوروں کے لیے ساحل بنو

انجمن کیسی تم اپنی ذات سے ہو انجمن

گوشۂ خلوت میں بھی بیٹھو تو اک محفل بنو

حسن خود بیں معجزات عشق کا قائل نہیں

قطرہ ہائے اشک خونیں جمع ہو کر دل بنو

ساتھ آزادی کے خود داری بھی رہنا چاہئے

بحر بے پایاں کبھی لب خشکئ ساحل بنو

علم کا دورہ لہو کے ساتھ رگ رگ میں رہے

جوہر قابل اگر ہو قوت عامل بنو

شرم سے تم کو سمٹنا ہے تو سمٹو حسن سے

دل میں بن جاؤ سویدا پتلیوں میں تل بنو

ربط باطن کیا سنو تفصیل اس اجمال کی

ہم سراپا درد ہوں اور تم سراپا دل بنو

جلنے والو تا بہ امکاں ضبط سوز غم کرو

آگ جب بھڑکے چراغ سرحد منزل بنو

کچھ دنوں بیٹھو سر قبر عزیزؔ بے نوا

خانقاہوں میں بہت دشوار ہے کامل بنو

عزیز لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano

Aziz Lakhnavi

intiha-e-ishq ho yun ishq mein kaamil bano
KHak ho kar bhi nishan-e-sarhad-e-manzil bano

mere shikwon par ye kahna rahm ke qabil bano
muddaa ye hai ki apne haal se ghafil bano

gharq ho kar rol lo moti KHud apne waste
Dub kar ubhro to auron ke liye sahil bano

anjuman kaisi tum apni zat se ho anjuman
gosha-e-KHalwat mein bhi baiTho to ek mahfil bano

husn-e-KHud-bin moajizat-e-ishq ka qail nahin
qatra-ha-e-ashk-e-KHunin jama ho kar dil bano

sath aazadi ke KHud-dari bhi rahna chahiye
bahr-e-be-payan kabhi lab KHushki-e-sahil bano

ilm ka daura lahu ke sath rag rag mein rahe
jauhar-e-qabil agar ho quwwat-e-amil bano

sharm se tum ko simaTna hai to simTo husn se
dil mein ban jao suwaida putliyon mein til bano

rabt-e-baatin kya suno tafsil us ijmal ki
hum sarapa dard hon aur tum sarapa dil bano

jalne walo ta-ba-imkan zabt soz-e-gham karo
aag jab bhaDke charagh-e-sarhad-e-manzil bano

kuchh dinon baiTho sar-e-qabr-e-'aziz'-e-be-nawa
KHanqahon mein bahut dushwar hai kaamil bano

(600) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano written by Aziz Lakhnavi at UrduPoint. Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano is one of the masterpieces written by Aziz Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Aziz Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Lakhnavi' above.

Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano is a widely read Urdu Ghazal. If you like Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.