Shahr Ki Hangama-arai Se Be-parwa Hai Wo, Urdu Ghazal By Aziz Qadri

Shahr Ki Hangama-arai Se Be-parwa Hai Wo is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aziz Qadri. Shahr Ki Hangama-arai Se Be-parwa Hai Wo comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shahr Ki Hangama-arai Se Be-parwa Hai Wo on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شہر کی ہنگامہ آرائی سے بے پروا ہے وہ

عزیز قادری

شہر کی ہنگامہ آرائی سے بے پروا ہے وہ

دھوپ نکلی ہے تو چوراہے پہ آ بیٹھا ہے وہ

چھو لیا گر بھول سے بھی تو جھلس جائے گا ہاتھ

پھول جس کو آپ نے سمجھا ہے انگارہ ہے وہ

مجرموں کی طرح میں اپنے مکاں میں بند ہوں

سر اٹھائے بے گناہوں کی طرح پھرتا ہے وہ

آؤ اس کو کھینچ لائیں شہرتوں کے شہر میں

چھپ کے کیوں گمنامیوں کے غار میں بیٹھا ہے وہ

بد گماں ہے مجھ سے لیکن پھر بھی میرا دوست ہے

جب ملا ہے تو گلے مل کر بہت رویا ہے وہ

تشنگی اس کی بجھانے والا کوئی بھی نہیں

سامنے پنگھٹ کے بیٹھا ہے مگر پیاسا ہے وہ

دوستی اپنی جگہ ہے اختلاف اپنی جگہ

آؤ اس کی بات تو سن آئیں کیا کہتا ہے وہ

ایک مدت سے عزیزؔ آیا نہیں ہے اس طرف

کیا خبر کس حال میں ہے اور کیا کرتا ہے وہ

عزیز قادری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shahr Ki Hangama-arai Se Be-parwa Hai Wo

Aziz Qadri

shahr ki hangama-arai se be-parwa hai wo
dhup nikli hai to chaurahe pe aa baiTha hai wo

chhu liya gar bhul se bhi to jhulas jaega hath
phul jis ko aap ne samjha hai angara hai wo

mujrmon ki tarah main apne makan mein band hun
sar uThae be-gunahon ki tarah phirta hai wo

aao us ko khinch laen shohraton ke shahr mein
chhup ke kyon gumnamiyon ke ghaar mein baiTha hai wo

bad-guman hai mujh se lekin phir bhi mera dost hai
jab mila hai to gale mil kar bahut roya hai wo

tishnagi us ki bujhane wala koi bhi nahin
samne panghaT ke baiTha hai magar pyasa hai wo

dosti apni jagah hai iKHtilaf apni jagah
aao us ki baat to sun aaen kya kahta hai wo

ek muddat se 'aziz' aaya nahin hai is taraf
kya KHabar kis haal mein hai aur kya karta hai wo

(1156) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shahr Ki Hangama-arai Se Be-parwa Hai Wo written by Aziz Qadri at UrduPoint. Shahr Ki Hangama-arai Se Be-parwa Hai Wo is one of the masterpieces written by Aziz Qadri. You can also find the complete poetry collection of Aziz Qadri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Qadri' above.

Shahr Ki Hangama-arai Se Be-parwa Hai Wo is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shahr Ki Hangama-arai Se Be-parwa Hai Wo, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.