Jigar Ko Dekh Ke ZaKHm-e-jigar Ko Dekhte Hain, Urdu Ghazal By Bekhud Mohani

Jigar Ko Dekh Ke ZaKHm-e-jigar Ko Dekhte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Bekhud Mohani. Jigar Ko Dekh Ke ZaKHm-e-jigar Ko Dekhte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jigar Ko Dekh Ke ZaKHm-e-jigar Ko Dekhte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جگر کو دیکھ کے زخم جگر کو دیکھتے ہیں

بیخود موہانی

جگر کو دیکھ کے زخم جگر کو دیکھتے ہیں

مرے عزیز مرے چارہ گر کو دیکھتے ہیں

پڑی ہے سامنے جیسے کسی عزیز کی لاش

ہم اس نظر سے دل بے خبر کو دیکھتے ہیں

کٹیں گی موت کے ہاتھوں یہ بیڑیاں اک دن

اس ایک آس کو اور عمر بھر کو دیکھتے ہیں

گزر رہی ہے اسیران بدنصیب کی یوں

کبھی قفس کو کبھی بال و پر کو دیکھتے ہیں

پھر آ کے حسرتیں دم توڑتی ہیں خواب میں کیا

اداس دل جو ہم اتنا سحر کو دیکھتے ہیں

ستم کشوں کو یہ کیا خوب چپ کی داد ملی

جب آنکھ کھلتی ہے تربت سے گھر کو دیکھتے ہیں

اجل کو دیکھ کے سوجھا مآل ہستی کا

سحر کو دیکھ کے شمع سحر کو دیکھتے ہیں

کھلا ہے اب کے ہے ہستی کا ایک نام گناہ

تباہ حالی اہل ہنر کو دیکھتے ہیں

پہنچ کے منزل ہستی پہ ہوش اڑے بیخودؔ

کہ راہزن تھا جو اب راہبر کو دیکھتے ہیں

بیخود موہانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jigar Ko Dekh Ke ZaKHm-e-jigar Ko Dekhte Hain

Bekhud Mohani

jigar ko dekh ke zaKHm-e-jigar ko dekhte hain
mere aziz mere chaaragar ko dekhte hain

paDi hai samne jaise kisi aziz ki lash
hum is nazar se dil-e-be-KHabar ko dekhte hain

kaTengi maut ke hathon ye beDiyan ek din
is ek aas ko aur umr bhar ko dekhte hain

guzar rahi hai asiran-e-bad-nasib ki yun
kabhi qafas ko kabhi baal-o-par ko dekhte hain

phir aa ke hasraten dam toDti hain KHwab mein kya
udas dil jo hum itna sahar ko dekhte hain

sitam-kashon ko ye kya KHub chup ki dad mili
jab aankh khulti hai turbat se ghar ko dekhte hain

ajal ko dekh ke sujha maal hasti ka
sahar ko dekh ke sham-e-sahar ko dekhte hain

khula hai ab ke hai hasti ka ek nam gunah
tabah-haali-e-ahl-e-hunar ko dekhte hain

pahunch ke manzil-e-hasti pe hosh uDe 'beKHud'
ki rahzan tha jo ab rahbar ko dekhte hain

(744) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jigar Ko Dekh Ke ZaKHm-e-jigar Ko Dekhte Hain written by Bekhud Mohani at UrduPoint. Jigar Ko Dekh Ke ZaKHm-e-jigar Ko Dekhte Hain is one of the masterpieces written by Bekhud Mohani. You can also find the complete poetry collection of Bekhud Mohani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bekhud Mohani' above.

Jigar Ko Dekh Ke ZaKHm-e-jigar Ko Dekhte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jigar Ko Dekh Ke ZaKHm-e-jigar Ko Dekhte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.