Shadmani Ka Kabhi Gham Ka Kabhi Josh Raha, Urdu Ghazal By Betab Azimabadi

Shadmani Ka Kabhi Gham Ka Kabhi Josh Raha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Betab Azimabadi. Shadmani Ka Kabhi Gham Ka Kabhi Josh Raha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shadmani Ka Kabhi Gham Ka Kabhi Josh Raha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

Shadmani Ka Kabhi Gham Ka Kabhi Josh Raha

Betab Azimabadi

shadmani ka kabhi gham ka kabhi josh raha
ek sauda raha jab tak ki mujhe hosh raha

juz teri yaad ke sab dil se faramosh raha
marte marte diwane ko ye hosh raha

ruKH-e-pur-nur se bas un ka ulaTna tha naqab
kaun kambaKHt tha aisa ki jise hosh raha

ye bhi ehsan hai jo us ne na diya koi jawab
shauq-e-ummid ka hami lab-e-KHamosh raha

be-dhaDak samne mahshar ki wo aana tera
dekh lena jo kisi ek ko bhi hosh raha

kis se fariyaad-e-sitam karte mila jab ki na tu
tu mila jab to sitam tera faramosh raha

raaz-e-sar-basta-e-mai-KHana na khulne paya
aashna-e-lab-e-saghar lab-e-mai-nosh raha

dard rah rah ke mere dil mein uTha karta hai
tera ehsan ki tujhe main na faramosh raha

bar-e-ehsan hai mere sar pe tera o qatil
sar juda hone pe bhi main na subuk-dosh raha

dard uThte hi taDapne lagana mahram-e-raaz
jo ada se teri waqif tha wo KHamosh raha

kya kahun maut ne kis raaz ki di aa ke KHabar
baat hi kuchh thi wo aisi ki main KHamosh raha

jaan 'betab' ki aaKHir shab-e-tanhai ne li
tu kahan sham se o wada-faramosh raha

(484) ووٹ وصول ہوئے

You can read Shadmani Ka Kabhi Gham Ka Kabhi Josh Raha written by Betab Azimabadi at UrduPoint. Shadmani Ka Kabhi Gham Ka Kabhi Josh Raha is one of the masterpieces written by Betab Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Betab Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Betab Azimabadi' above.

Shadmani Ka Kabhi Gham Ka Kabhi Josh Raha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shadmani Ka Kabhi Gham Ka Kabhi Josh Raha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.