Roz Puchhe Hai Mere Dil Ka Bayaban Mujhse, Urdu Ghazal By Bilal Saharanpuri

Roz Puchhe Hai Mere Dil Ka Bayaban Mujhse is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Bilal Saharanpuri. Roz Puchhe Hai Mere Dil Ka Bayaban Mujhse comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Roz Puchhe Hai Mere Dil Ka Bayaban Mujhse on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

روز پوچھے ہے مرے دل کا بیاباں مجھ سے

بلال سہارن پوری

روز پوچھے ہے مرے دل کا بیاباں مجھ سے

جانے کیوں روٹھ گیا جان بہاراں مجھ سے

موت اس وقت مسیحا کی طرح لگتی ہے

زندگی ہوتی ہے جب دست و گریباں مجھ سے

مرتے دم بھی نہ ہوئی ہائے میسر خلوت

ملنے آئے ہیں وہ ہم راہ رقیباں مجھ سے

دل کی ہر بات کو لفظوں میں بیاں کرتا ہوں

اس لیے رہتے ہیں کچھ لوگ پریشاں مجھ سے

زندگی صرف کی دنیا کی طلب میں آخر

کچھ ادا ہو نہ سکا فرض مسلماں مجھ سے

شب گزرتے ہی بجھا دو گے یقیناً مجھ کو

رو کے یہ کہنے لگی شمع شبستاں مجھ سے

تشنگی سے بھی مجھے کیف میسر آتا

کاش مل جاتا کوئی ابر گریزاں مجھ سے

تجھ کو دیکھا تھا یہاں کھلتے گلابوں کی طرح

اس لئے چھٹتا نہیں شہر نگاراں مجھ سے

میں قلم بیچ کے شاہوں کے قصیدے لکھوں

چاہتے ہیں یہی شاہوں کے ثنا خواں مجھ سے

دیکھ کر بڑھتے ہوئے درد کی شدت کو بلالؔ

زخم بھی ہونے لگے اب تو پشیماں مجھ سے

بلال سہارن پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Roz Puchhe Hai Mere Dil Ka Bayaban Mujhse

Bilal Saharanpuri

roz puchhe hai mere dil ka bayaban mujh se
jaane kyon ruTh gaya jaan-e-bahaaran mujh se

maut us waqt masiha ki tarah lagti hai
zindagi hoti hai jab dast-o-gareban mujh se

marte dam bhi na hui hae mayassar KHalwat
milne aae hain wo hamrah-e-raqiban mujh se

dil ki har baat ko lafzon mein bayan karta hun
is liye rahte hain kuchh log pareshan mujh se

zindagi sarf ki duniya ki talab mein aaKHir
kuchh ada ho na saka farz-e-musalman mujh se

shab guzarte hi bujha doge yaqinan mujh ko
ro ke ye kahne lagi sham-e-shabistan mujh se

tishnagi se bhi mujhe kaif mayassar aata
kash mil jata koi abr-e-gurezan mujh se

tujh ko dekha tha yahan khilte gulabon ki tarah
is liye chhuTta nahin shahr-e-nigaran mujh se

main qalam bech ke shahon ke qaside likhkhun
chahte hain yahi shahon ke sana-KHwan mujh se

dekh kar baDhte hue dard ki shiddat ko 'bilal'
zaKHm bhi hone lage ab to pasheman mujh se

(903) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Roz Puchhe Hai Mere Dil Ka Bayaban Mujhse written by Bilal Saharanpuri at UrduPoint. Roz Puchhe Hai Mere Dil Ka Bayaban Mujhse is one of the masterpieces written by Bilal Saharanpuri. You can also find the complete poetry collection of Bilal Saharanpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bilal Saharanpuri' above.

Roz Puchhe Hai Mere Dil Ka Bayaban Mujhse is a widely read Urdu Ghazal. If you like Roz Puchhe Hai Mere Dil Ka Bayaban Mujhse, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.