Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine, Urdu Ghazal By Fawad Ahmad

Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Fawad Ahmad. Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ان نگاہوں کو ہم آواز کیا ہے میں نے

فواد احمد

ان نگاہوں کو ہم آواز کیا ہے میں نے

تب کہیں گیت کا آغاز کیا ہے میں نے

ختم ہو تاکہ ستاروں کی اجارہ داری

خاک کو مائل پرواز کیا ہے میں نے

آپ کو اک نئی خفت سے بچانے کے لیے

چاندنی کو نظر انداز کیا ہے میں نے

آسمانوں کی طرف اور نہیں دیکھوں گا

اک نئے دور کا آغاز کیا ہے میں نے

روٹھے لوگوں کو منانے میں مزہ آتا ہے

جان کر آپ کو ناراض کیا ہے میں نے

تم مجھے چھوڑ کے اس طرح نہیں جا سکتے

اس تعلق پہ بہت ناز کیا ہے میں نے

وہ جو صدیوں سے یہاں بند پڑا تھا دیکھو

شاعری کا وہی در باز کیا ہے میں نے

سن کے مبہوت ہوئی جاتی ہے دنیا ساری

شعر لکھے ہیں کہ اعجاز کیا ہے میں نے

عشق میں نام کمانا کوئی آسان نہ تھا

سارے احباب کو ناراض کیا ہے میں نے

صرف لوگوں کو بتانے سے تسلی نہ ہوئی

چاند تاروں کو بھی ہم راز کیا ہے میں نے

اور بھی ہوں گے کئی چاہنے والے لیکن

آپ کے نام کو ممتاز کیا ہے میں نے

آسمانوں سے پرے کرتا ہے اب جا کے شکار

طائر دل کو وہ شہباز کیا ہے میں نے

شاعروں سے جو ترے بعد کبھی ہو نہ سکا

کام وہ حافظ شیراز کیا ہے میں نے

فواد احمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine

Fawad Ahmad

un nigahon ko ham-awaz kiya hai main ne
tab kahin git ka aaghaz kiya hai main ne

KHatm ho ta-ki sitaron ki ijara-dari
KHak ko mail-e-parwaz kiya hai main ne

aap ko ek nai KHiffat se bachane ke liye
chandni ko nazar-andaz kiya hai main ne

aasmanon ki taraf aur nahin dekhunga
ek nae daur ka aaghaz kiya hai main ne

ruThe logon ko manane mein maza aata hai
jaan kar aap ko naraaz kiya hai main ne

tum mujhe chhoD ke is tarah nahin ja sakte
is talluq pe bahut naz kiya hai main ne

wo jo sadiyon se yahan band paDa tha dekho
shairi ka wahi dar baz kiya hai main ne

sun ke mabhut hui jati hai duniya sari
sher likkhe hain ki ejaz kiya hai main ne

ishq mein nam kamana koi aasan na tha
sare ahbab ko naraaz kiya hai main ne

sirf logon ko batane se tasalli na hui
chand taron ko bhi hamraaz kiya hai main ne

aur bhi honge kai chahne wale lekin
aap ke nam ko mumtaz kiya hai main ne

aasmanon se pare karta hai ab ja ke shikar
tair-e-dil ko wo shahbaz kiya hai main ne

shairon se jo tere baad kabhi ho na saka
kaam wo hafiz-e-shiraaz kiya hai main ne

(401) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine written by Fawad Ahmad at UrduPoint. Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine is one of the masterpieces written by Fawad Ahmad. You can also find the complete poetry collection of Fawad Ahmad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Fawad Ahmad' above.

Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine is a widely read Urdu Ghazal. If you like Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.