Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe, Urdu Ghazal By Fawad Ahmad

Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Fawad Ahmad. Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس کی گلی میں ظرف سے بڑھ کر ملا مجھے

فواد احمد

اس کی گلی میں ظرف سے بڑھ کر ملا مجھے

اک پیالہ جستجو تھی سمندر ملا مجھے

میں چل پڑا تھا اور کسی شاہراہ پر

خنجر بہ دست یادوں کا لشکر ملا مجھے

دریائے شب سے پار اترنا محال تھا

ٹوٹا ہوا سفینۂ خاور ملا مجھے

تاروں میں اس کا عکس ہے پھولوں میں اس کا رنگ

میں جس طرف گیا مرا دلبر ملا مجھے

ہر ذرہ با کمال ہے ہر پتا بے مثال

دنیا میں خود سے کوئی نہ کم تر ملا مجھے

کب سے بھٹک رہا ہوں میں اس دشت میں مگر

خود سے کبھی ملا نہ ترا در ملا مجھے

ہوتا نہیں ہے تجھ پہ کسی بات کا اثر

لگتا ہے تیرے روپ میں پتھر ملا مجھے

بے کیف کٹ رہی تھی مسلسل یہ زندگی

پھر خواب میں وہ خواب سا پیکر ملا مجھے

اس بات پر کروں گا میں دن رات احتجاج

کس جرم میں یہ خاک کا بستر ملا مجھے

مجھ کو نہیں رہی کبھی منظر کی جستجو

گھر کے قریب کوئے ستم گر ملا مجھے

جب تک رہا میں خود میں بھٹکتا رہا یہاں

جب خود کو کھو دیا تو ترا در ملا مجھے

مٹی میں ڈھونڈتا ہوا کچھ بوڑھا آسماں

میں جس طرف گیا یہی منظر ملا مجھے

کرتے ہیں لوگ حسن سے یاں ناروا سلوک

روتے ہوئے ہمیشہ گل تر ملا مجھے

فواد احمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe

Fawad Ahmad

us ki gali mein zarf se baDh kar mila mujhe
ek pyala justuju thi samundar mila mujhe

main chal paDa tha aur kisi shahrah par
KHanjar-ba-dast yaadon ka lashkar mila mujhe

dariya-e-shab se par utarna muhaal tha
TuTa hua safina-e-KHawar mila mujhe

taron mein us ka aks hai phulon mein us ka rang
main jis taraf gaya mera dilbar mila mujhe

har zarra ba-kamal hai har patta be-misal
duniya mein KHud se koi na kam-tar mila mujhe

kab se bhaTak raha hun main is dasht mein magar
KHud se kabhi mila na tera dar mila mujhe

hota nahin hai tujh pe kisi baat ka asar
lagta hai tere rup mein patthar mila mujhe

be-kaif kaT rahi thi musalsal ye zindagi
phir KHwab mein wo KHwab sa paikar mila mujhe

is baat par karunga main din raat ehtijaj
kis jurm mein ye KHak ka bistar mila mujhe

mujh ko nahin rahi kabhi manzar ki justuju
ghar ke qarib ku-e-sitamgar mila mujhe

jab tak raha main KHud mein bhaTakta raha yahan
jab KHud ko kho diya to tera dar mila mujhe

miTTi mein DhunDta hua kuchh buDha aasman
main jis taraf gaya yahi manzar mila mujhe

karte hain log husn se yan na-rawa suluk
rote hue hamesha gul-e-tar mila mujhe

(420) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe written by Fawad Ahmad at UrduPoint. Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe is one of the masterpieces written by Fawad Ahmad. You can also find the complete poetry collection of Fawad Ahmad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Fawad Ahmad' above.

Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.