Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai, Urdu Ghazal By Ghubaar Bhatti

Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ghubaar Bhatti. Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھے کس طرح سے نہ ہو یقیں کہ اسے خزاں سے گریز ہے

غبار بھٹی

مجھے کس طرح سے نہ ہو یقیں کہ اسے خزاں سے گریز ہے

جو نسیم‌ صبح بہار کو مرے گلستاں سے گریز ہے

یہ عبودیت کا ہے اقتضا کہ اسی پہ خم ہو مری جبیں

یہ غلط کسی نے ہے کہہ دیا ترے آستاں سے گریز ہے

ہے عجیب قسم کی بد ظنی مجھے اس کی کوئی خبر نہیں

گل و خار کو بھی بہار میں مرے گلستاں سے گریز ہے

کچھ عجب نہیں جو قدم قدم مرے راہبر ہی ہوں راہزن

نہیں متفق کوئی فرد جب مجھے کارواں سے گریز ہے

مرے داغ دل کی ہی تابشیں ہیں جمال بخش دل و نظر

یہی بات ہے کہ تمام شب مجھے کہکشاں سے گریز ہے

یہ شکیب سے نہیں آشنا اسے کچھ وفا سے غرض نہیں

یہی راز ہے یہی وجہ ہے جو دل تپاں سے گریز ہے

ہے تلاش وسعت لا مکاں کہ جہاں پہ کچھ ہو سکون دل

ہو جہاں بھی بندش آب گل مجھے اس مکاں سے گریز ہے

یہ تضاد عشق غبارؔ ہے کوئی کس طرح سے سمجھ سکے

کبھی پائے باز پہ سر ہے خم کبھی آستاں سے گریز ہے

غبار بھٹی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai

Ghubaar Bhatti

mujhe kis tarah se na ho yaqin ki use KHizan se gurez hai
jo nasim-e-subh-e-bahaar ko mere gulsitan se gurez hai

ye ubudiyat ka hai iqtiza ki usi pe KHam ho meri jabin
ye ghalat kisi ne hai kah diya tere aastan se gurez hai

hai ajib qism ki bad-zani mujhe us ki koi KHabar nahin
gul-o-KHar ko bhi bahaar mein mere gulsitan se gurez hai

kuchh ajab nahin jo qadam qadam mere rahbar hi hon rahzan
nahin muttafiq koi fard jab mujhe karwan se gurez hai

mere dagh-e-dil ki hi tabishen hain jamal-baKHsh dil-o-nazar
yahi baat hai ki tamam shab mujhe kahkashan se gurez hai

ye shakeb se nahin aashna ise kuchh wafa se gharaz nahin
yahi raaz hai yahi wajh hai jo dil-e-tapan se gurez hai

hai talash-e-wusat-e-la-makan ki jahan pe kuchh ho sukun-e-dil
ho jahan bhi bandish-e-ab-o-gul mujhe us makan se gurez hai

ye tazad-e-ishq 'ghubar' hai koi kis tarah se samajh sake
kabhi pa-e-baz pe sar hai KHam kabhi aastan se gurez hai

(596) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai written by Ghubaar Bhatti at UrduPoint. Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai is one of the masterpieces written by Ghubaar Bhatti. You can also find the complete poetry collection of Ghubaar Bhatti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghubaar Bhatti' above.

Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mujhe Kis Tarah Se Na Ho Yaqin Ki Use KHizan Se Gurez Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.