Pahle To Dam-e-zulf Mein Uljha Liya Mujhe, Urdu Ghazal By Gulzar Dehlvi

Pahle To Dam-e-zulf Mein Uljha Liya Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Gulzar Dehlvi. Pahle To Dam-e-zulf Mein Uljha Liya Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pahle To Dam-e-zulf Mein Uljha Liya Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پہلے تو دام زلف میں الجھا لیا مجھے

گلزار دہلوی

پہلے تو دام زلف میں الجھا لیا مجھے

بھولے سے پھر کبھی نہ دلاسا دیا مجھے

کیا دردناک منظر کشتی تھا رود میں

میں نا خدا کو دیکھ رہا تھا خدا مجھے

بیٹھا ہوا ہے رشک مسیحا مرے قریب

کس بے بسی سے دیکھ رہی ہے قضا مجھے

ان کا بیان میری زباں پر جو آ گیا

لہجے نے ان کے کر دیا کیا خوش نوا مجھے

جن کو رہی سدا مرے مرنے کی آرزو

جینے کی دے رہے ہیں وہی اب دعا مجھے

جانے کا وقت آیا تو آئی صدائے حق

مدت سے آرزو تھی ملے ہم نوا مجھے

ہر بام و در سے ایک اشارہ ہے روز و شب

نے میں وفا کو چھوڑ سکا نے وفا مجھے

دنیا نے کتنے مجھ کو دکھائے ہیں سبز باغ

ان سے نہ کوئی کر سکا لیکن جدا مجھے

خوشبو سے کس کی مہک رہے ہیں مشام جاں

دامن سے دے رہا ہے کوئی تو ہوا مجھے

تصویر اس کے ہاتھ میں لب پر مری غزل

دیکھا نہ ایک آنکھ نہ جس نے سنا مجھے

فرد عمل میں میری ہوں شامل سب ان کے جور

ان کے کئے کی شوق سے دیجے سزا مجھے

میری وفا کا ان کو ملے حشر میں صلہ

مل جائیں ان کے نام کے جور و جفا مجھے

ہر روز مجھ کو اپنا بدلنا پڑا جواب

روز اک سبق پڑھاتا ہے قاصد نیا مجھے

دیکھا تمہاری شکل میں حسن ازل کی ضو

سجدہ تمہارے در پہ ہوا ہے روا مجھے

جھونکا کوئی نسیم کا گلزارؔ ناز میں

ان کا پیام کاش سنائے صبا مجھے

گلزار دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pahle To Dam-e-zulf Mein Uljha Liya Mujhe

Gulzar Dehlvi

pahle to dam-e-zulf mein uljha liya mujhe
bhule se phir kabhi na dilasa diya mujhe

kya dardnak manzar-e-kashti tha rud mein
main na-KHuda ko dekh raha tha KHuda mujhe

baiTha hua hai rashk-e-masiha mere qarib
kas bebasi se dekh rahi hai qaza mujhe

un ka bayan meri zaban par jo aa gaya
lahje ne un ke kar diya kya KHush-nawa mujhe

jin ko rahi sada mere marne ki aarzu
jine ki de rahe hain wahi ab dua mujhe

jaane ka waqt aaya to aai sada-e-haq
muddat se aarzu thi mile ham-nawa mujhe

har baam-o-dar se ek ishaara hai roz-o-shab
ne main wafa ko chhoD saka ne wafa mujhe

duniya ne kitne mujh ko dikhae hain sabz bagh
un se na koi kar saka lekin juda mujhe

KHushbu se kis ki mahak rahe hain masham-e-jaan
daman se de raha hai koi to hawa mujhe

taswir us ke hath mein lab par meri ghazal
dekha na ek aankh na jis ne suna mujhe

fard-e-amal mein meri hon shamil sab un ke jaur
un ke kiye ki shauq se dije saza mujhe

meri wafa ka un ko mile hashr mein sila
mil jaen un ke nam ke jaur-o-jafa mujhe

har roz mujh ko apna badalna paDa jawab
rose ek sabaq paDhata hai qasid naya mujhe

dekha tumhaari shakl mein husn-e-azal ki zau
sajda tumhaare dar pe hua hai rawa mujhe

jhonka koi nasim ka 'gulzar'-e-naz mein
un ka payam kash sunae saba mujhe

(739) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pahle To Dam-e-zulf Mein Uljha Liya Mujhe written by Gulzar Dehlvi at UrduPoint. Pahle To Dam-e-zulf Mein Uljha Liya Mujhe is one of the masterpieces written by Gulzar Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Gulzar Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Gulzar Dehlvi' above.

Pahle To Dam-e-zulf Mein Uljha Liya Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pahle To Dam-e-zulf Mein Uljha Liya Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.