Har Taraf Hai Us Se Mere Dil Ke Lag Jaane Mein Dhum, Urdu Ghazal By Hasrat Azimabadi

Har Taraf Hai Us Se Mere Dil Ke Lag Jaane Mein Dhum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hasrat Azimabadi. Har Taraf Hai Us Se Mere Dil Ke Lag Jaane Mein Dhum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Taraf Hai Us Se Mere Dil Ke Lag Jaane Mein Dhum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر طرف ہے اس سے میرے دل کے لگ جانے میں دھوم

حسرتؔ عظیم آبادی

ہر طرف ہے اس سے میرے دل کے لگ جانے میں دھوم

بلبل و گل میں ہے چہ چہ شمع و پروانے میں دھوم

فتنہ گر ہے ناز و عشوہ اس کی چشم شوخ میں

جوں مچاویں پی کے مے بدمست مے خانے میں دھوم

یاد میں اپنی ہے شاید وہ فرامش کار بھی

دل کرے ہے مجھ سے اس کی یاد دلوانے میں دھوم

جس طرح باد خزاں دیدہ میں آتی ہے بہار

شہر میں ہوتی ہے اس کے میرے گھر آنے میں دھوم

نوبت اوروں کی تو اے ساقی سبو پرداز ہے

کیا مچائی ہے ہمارے ایک پیمانے میں دھوم

جوں بلندی سے گرے ہے خاک پر کوئی ضعیف

ہے مری اس شوخ کی نظروں سے گر جانے میں دھوم

دیکھ تو لے سیر ہو کر تجھ کو یہ خانہ خراب

آتے ہی کیا ہے تری اتنی بھی گھر جانے میں دھوم

برہمن ہونے کو آتا ہے نیا شیخ آج کون

ہو رہی ہے ہر طرف حسرتؔ صنم خانے میں دھوم

حسرتؔ عظیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Taraf Hai Us Se Mere Dil Ke Lag Jaane Mein Dhum

Hasrat Azimabadi

har taraf hai us se mere dil ke lag jaane mein dhum
bulbul-o-gul mein hai chah-chah sham-o-parwane mein dhum

fitna-gar hai naz-o-ishwa us ki chashm-e-shoKH mein
jun machawen pi ke mai badmast mai-KHane mein dhum

yaad mein apni hai shayad wo faramush-kar bhi
dil kare hai mujh se us ki yaad dilwane mein dhum

jis tarah baad-e-KHizan-dida mein aati hai bahaar
shahr mein hoti hai us ke mere ghar aane mein dhum

naubat auron ki to ai saqi subu-pardaz hai
kya machai hai hamare ek paimane mein dhum

jun bulandi se gire hai KHak par koi zaif
hai meri us shoKH ki nazron se gir jaane mein dhum

dekh to le ser ho kar tujh ko ye KHana-KHarab
aate hi kya hai teri itni bhi ghar jaane mein dhum

barhaman hone ko aata hai naya shaiKH aaj kaun
ho rahi hai har taraf 'hasrat' sanam-KHane mein dhum

(513) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Taraf Hai Us Se Mere Dil Ke Lag Jaane Mein Dhum written by Hasrat Azimabadi at UrduPoint. Har Taraf Hai Us Se Mere Dil Ke Lag Jaane Mein Dhum is one of the masterpieces written by Hasrat Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Hasrat Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hasrat Azimabadi' above.

Har Taraf Hai Us Se Mere Dil Ke Lag Jaane Mein Dhum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Taraf Hai Us Se Mere Dil Ke Lag Jaane Mein Dhum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.