Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale, Urdu Ghazal By Hassan Aziz

Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hassan Aziz. Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عجیب حال ہے صحرا نشیں ہیں گھر والے

حسن عزیز

عجیب حال ہے صحرا نشیں ہیں گھر والے

گھروں میں بیٹھ گئے ہیں ادھر ادھر والے

نواح جسم نہیں گرچہ ریگزار سے کم

یہاں بھی خطے کئی ہیں ہرے شجر والے

اگرچہ شور بہت ہے در دعا پہ مگر

زبانیں بند کیے بیٹھے ہیں اثر والے

ہے راہ جاں یوں ہی سنسان ایک مدت سے

نہ گرد اڑی نہ دکھائی دیے سفر والے

بغیر آنکھ کے چہروں کا اب چلن ہے یہاں

وہ دن گئے کہ ہوا کرتے تھے نظر والے

ابھی میں شہر کو صحرا بنائے دیتا ہوں

کہ میرے ہاتھ بھی کچھ کم نہیں ہنر والے

سمٹ کے رہ گئے اب چند ساعتوں میں حسنؔ

یہی تھے کام کسی وقت عمر بھر والے

حسن عزیز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale

Hassan Aziz

ajib haal hai sahra-nashin hain ghar wale
gharon mein baiTh gae hain idhar-udhar wale

nawah-e-jism nahin garche regzar se kam
yahan bhi KHitte kai hain hare shajar wale

agarche shor bahut hai dar-e-dua pe magar
zabanen band kiye baiThe hain asar wale

hai rah-e-jaan yunhi sunsan ek muddat se
na gard uDi na dikhai diye safar wale

baghair aankh ke chehron ka ab chalan hai yahan
wo din gae ki hua karte the nazar wale

abhi main shahr ko sahra banae deta hun
ki mere hath bhi kuchh kam nahin hunar wale

simaT ke rah gae ab chand saaton mein 'hasan'
yahi the kaam kisi waqt umr-bhar wale

(1387) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale written by Hassan Aziz at UrduPoint. Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale is one of the masterpieces written by Hassan Aziz. You can also find the complete poetry collection of Hassan Aziz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hassan Aziz' above.

Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.