Qayamat Ki TaDap Gham Intiha Ka, Urdu Ghazal By Ikramullah Khan Azhar

Qayamat Ki TaDap Gham Intiha Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ikramullah Khan Azhar. Qayamat Ki TaDap Gham Intiha Ka comes under the Love, Sufi, Islamic category of Urdu Ghazal. You can read Qayamat Ki TaDap Gham Intiha Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قیامت کی تڑپ غم انتہا کا

اکرام اللہ خان اظہر

قیامت کی تڑپ غم انتہا کا

صلہ ہم کو ملا ہے یہ وفا کا

بھرم ٹوٹا نہیں میری انا کا

ابھی تک فضل ہے اظہر خدا کا

ہمیں پھر خوف کیا روز جزا کا

وسیلہ ہے محمد مصطفیٰ کا

سنبھل کر کیجئے گا گفتگو بھی

مخالف آج کل ہے رخ ہوا کا

مزہ آنے لگا ہے درد دل میں

اثر شاید ہے یہ میری دعا کا

کوئی خائف نہ اس کو کر سکے گا

جو دامن تھام لے مشکل کشا کا

جہاں سچ بولنا ہے جرم اظہرؔ

وہاں کیا کام ہے اہل صفا کا

اکرام اللہ خان اظہر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qayamat Ki TaDap Gham Intiha Ka

Ikramullah Khan Azhar

qayamat ki taDap gham intiha ka
sila hum ko mila hai ye wafa ka

bharam TuTa nahin meri ana ka
abhi tak fazl hai azhar KHuda ka

hamein phir KHauf kya roz-e-jaza ka
wasila hai mohammad mustafa ka

sanbhal kar kijiyega guftugu bhi
muKHalif aaj-kal hai ruKH hawa ka

maza aane laga hai dard dil mein
asar shayad hai ye meri dua ka

koi KHaif na us ko kar sakega
jo daman tham le mushkil-kusha ka

jahan sach bolna hai jurm 'azhar'
wahan kya kaam hai ahl-e-safa ka

(926) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Qayamat Ki TaDap Gham Intiha Ka written by Ikramullah Khan Azhar at UrduPoint. Qayamat Ki TaDap Gham Intiha Ka is one of the masterpieces written by Ikramullah Khan Azhar. You can also find the complete poetry collection of Ikramullah Khan Azhar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ikramullah Khan Azhar' above.

Qayamat Ki TaDap Gham Intiha Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qayamat Ki TaDap Gham Intiha Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.