Kuan Bhi Khod Liya Phir Bhi Dil Pareshan Hai, Urdu Ghazal By Imtiyaz Danish Nadwi

Kuan Bhi Khod Liya Phir Bhi Dil Pareshan Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imtiyaz Danish Nadwi. Kuan Bhi Khod Liya Phir Bhi Dil Pareshan Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kuan Bhi Khod Liya Phir Bhi Dil Pareshan Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کنواں بھی کھود لیا پھر بھی دل پریشاں ہے

امتیاز دانش ندوی

کنواں بھی کھود لیا پھر بھی دل پریشاں ہے

اب اس علاقے سے بادل بہت گریزاں ہے

بدن دریدہ زمیں دور تک ہے پھیلی ہوئی

ہرا سا ایک شجر خود پہ کتنا نازاں ہے

کہیں سے کوئی بھی خوش کن خبر نہیں آئی

برا ہے وقت ابھی ہر خوشی گریزاں ہے

بیان درد و الم اب کوئی کرے کس سے

ہر ایک شخص کسی مسئلے میں غلطاں ہے

دکھا کے آدمی اور جانور کی تصویریں

یہ پوچھا بچی نے دونوں میں کون حیواں ہے

سفیدی اس پہ زباں سے نہ پھیر پائے گا

سیاہی دل کی تری آنکھ سے نمایاں ہے

جہاں میں پھیلے اندھیروں کا ہے یہ ڈر کیسا

دلوں میں شمع جب ایمان کی فروزاں ہے

کوئی خوشی بھی کہاں لگتی ہے خوشی کی طرح

بہ روز عید بھی اب کون کتنا ناداں ہے

ہو اہل ہوش یا دشت جنوں کا باشندہ

کسی کا آج سلامت نہیں گریباں ہے

امتیاز دانش ندوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kuan Bhi Khod Liya Phir Bhi Dil Pareshan Hai

Imtiyaz Danish Nadwi

kuan bhi khod liya phir bhi dil pareshan hai
ab is ilaqe se baadal bahut gurezan hai

badan-darida zamin dur tak hai phaili hui
hara sa ek shajar KHud pe kitna nazan hai

kahin se koi bhi KHush-kun KHabar nahin aai
bura hai waqt abhi har KHushi gurezan hai

bayan-e-dard-o-alam ab koi kare kis se
har ek shaKHs kisi masale mein ghaltan hai

dikha ke aadmi aur jaanwar ki taswiren
ye puchha bachchi ne donon mein kaun haiwan hai

safedi us pe zaban se na pher paega
syahi dil ki teri aankh se numayan hai

jahan mein phaile andheron ka hai ye Dar kaisa
dilon mein shama jab iman ki farozan hai

koi KHushi bhi kahan lagti hai KHushi ki tarah
ba-roz-e-id bhi ab kaun kitna nadan hai

ho ahl-e-hosh ya dasht-e-junun ka bashinda
kisi ka aaj salamat nahin gareban hai

(600) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kuan Bhi Khod Liya Phir Bhi Dil Pareshan Hai written by Imtiyaz Danish Nadwi at UrduPoint. Kuan Bhi Khod Liya Phir Bhi Dil Pareshan Hai is one of the masterpieces written by Imtiyaz Danish Nadwi. You can also find the complete poetry collection of Imtiyaz Danish Nadwi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imtiyaz Danish Nadwi' above.

Kuan Bhi Khod Liya Phir Bhi Dil Pareshan Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kuan Bhi Khod Liya Phir Bhi Dil Pareshan Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.