Gum Dhundlakon Mein Hui Rahguzar Tere Baad, Urdu Ghazal By Iqbal Haidri

Gum Dhundlakon Mein Hui Rahguzar Tere Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Haidri. Gum Dhundlakon Mein Hui Rahguzar Tere Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gum Dhundlakon Mein Hui Rahguzar Tere Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گم دھندلکوں میں ہوئی راہ گزر تیرے بعد

اقبال حیدری

گم دھندلکوں میں ہوئی راہ گزر تیرے بعد

رک گیا جیسے ستاروں کا سفر تیرے بعد

تاب نظارہ کہاں تھی تری جلوت میں ہمیں

ڈھونڈھتی ہے تری صورت کو نظر تیرے بعد

دیکھتے دیکھتے انداز گلستاں بدلا

پھول تھے پھول شجر تھے نہ شجر تیرے بعد

یوں تو دیکھے تھے بہت روپ جہاں کے ہم نے

وہ بھی اک روپ تھا جو آیا نظر تیرے بعد

آرزو لے کے تری چل تو پڑے تھے گھر سے

اب یہ مشکل ہے کہ ہم جائیں کدھر تیرے بعد

فن کو سولی پہ چڑھایا گیا فن کار کے ساتھ

قریہ قریہ بکی ناموس ہنر تیرے بعد

کس قدر تھا رگ جاں میں تو ہماری پیوست

اس حقیقت کی ہوئی ہم کو خبر تیرے بعد

ہے یہ ظلمت ہی مقدر تو پکاریں کس کو

کس سے معلوم کریں اپنی خبر تیرے بعد

یوں فراغت ہے ہر اک کام سے ہم کو جیسے

ختم ہے سلسلۂ شام و سحر تیرے بعد

رونقیں تجھ سے تھیں ساری سو ترے ساتھ گئیں

شہر کا شہر ہوا ایک کھنڈر تیرے بعد

کاش ہو سکتا کسی طرح تجھے بھی معلوم

حال اقبالؔ کا ہے کتنا دگر تیرے بعد

اقبال حیدری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gum Dhundlakon Mein Hui Rahguzar Tere Baad

Iqbal Haidri

gum dhundlakon mein hui rahguzar tere baad
ruk gaya jaise sitaron ka safar tere baad

tab-e-nazzara kahan thi teri jalwat mein hamein
DhunDhti hai teri surat ko nazar tere baad

dekhte dekhte andaz-e-gulistan badla
phul the phul shajar the na shajar tere baad

yun to dekhe the bahut rup jahan ke hum ne
wo bhi ek rup tha jo aaya nazar tere baad

aarzu le ke teri chal to paDe the ghar se
ab ye mushkil hai ki hum jaen kidhar tere baad

fan ko suli pe chaDhaya gaya fankar ke sath
qarya qarya biki namus-e-hunar tere baad

kis qadar tha rag-e-jaan mein tu hamari paiwast
is haqiqat ki hui hum ko KHabar tere baad

hai ye zulmat hi muqaddar to pukaren kis ko
kis se malum karen apni KHabar tere baad

yun faraghat hai har ek kaam se hum ko jaise
KHatm hai silsila-e-sham-o-sahar tere baad

raunaqen tujh se thin sari so tere sath gain
shahar ka shahar hua ek khanDar tere baad

kash ho sakta kisi tarah tujhe bhi malum
haal 'iqbaal' ka hai kitna digar tere baad

(377) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gum Dhundlakon Mein Hui Rahguzar Tere Baad written by Iqbal Haidri at UrduPoint. Gum Dhundlakon Mein Hui Rahguzar Tere Baad is one of the masterpieces written by Iqbal Haidri. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Haidri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Haidri' above.

Gum Dhundlakon Mein Hui Rahguzar Tere Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gum Dhundlakon Mein Hui Rahguzar Tere Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.