Sal Nau Ke Liye Ek Nazm, Urdu Nazam By Iqbal Naazir

Sal Nau Ke Liye Ek Nazm is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Iqbal Naazir. Sal Nau Ke Liye Ek Nazm comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Sal Nau Ke Liye Ek Nazm on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سال نو کے لیے ایک نظم

اقبال ناظر

دعائیں اور دعاؤں سے بھری

بے انت تحریریں

مجھے ہر سال کے ان آخری

لمحوں میں ملتی ہیں

میرے احباب کے ناموں میں

اکثر درج ہوتا ہے

خدا محفوظ رکھے

سال بھر مجھ کو بلاؤں سے

مجھے زہر اب میں لپٹی ہوائیں

چھو کے نہ گزریں

مجھے موجود اور آنے والے

سال کے لمحے

مبارک در مبارک ہوں

یہی تحریر میں احباب کو

واپس لٹاتا ہوں

یہی جذبات میرے دوستوں

کے نام ہوتے ہیں

مگر پھر وقت کے ہاتھوں

نہ جانے کیا گزرتی ہے

کہ جو بھی تیر آتا ہے

اسی جانب سے آتا ہے

جہاں سے عطر میں ڈوبا ہوا

پیغام آیا تھا

جہاں سے سال بھر

محفوظ رہنے کا

حسیں ملفوف

میرے نام آیا تھا

اقبال ناظر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sal Nau Ke Liye Ek Nazm

Iqbal Naazir

duaen aur duaon se bhari
be-ant tahriren
mujhe har sal ke in aaKHiri
lamhon mein milti hain
mere ahbab ke namon mein
aksar darj hota hai
KHuda mahfuz rakkhe
sal bhar mujh ko balaon se
mujhe zahr ab main lipTi hawaen
chhu ke na guzrin
mujhe maujud aur aane wale
sal ke lamhe
mubarak dar mubarak hon
yahi tahrir main ahbab ko
wapas luTata hun
yahi jazbaat mere doston
ke nam hote hain
magar phir waqt ke hathon
na jaane kya guzarti hai
ki jo bhi tir aata hai
usi jaanib se aata hai
jahan se itr mein Duba hua
paigham aaya tha
jahan se sal bhar
mahfuz rahne ka
hasin malfuf
mere nam aaya tha

(621) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sal Nau Ke Liye Ek Nazm written by Iqbal Naazir at UrduPoint. Sal Nau Ke Liye Ek Nazm is one of the masterpieces written by Iqbal Naazir. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Naazir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Naazir' above.

Sal Nau Ke Liye Ek Nazm is a widely read Urdu Nazam. If you like Sal Nau Ke Liye Ek Nazm, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.