KHwabon Ka Murda Ghar, Urdu Nazam By Jagdish Prakash

KHwabon Ka Murda Ghar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Jagdish Prakash. KHwabon Ka Murda Ghar comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read KHwabon Ka Murda Ghar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خوابوں کا مردہ گھر

جگدیش پرکاش

تنہائی کو خواب کی دستک دیتے دیکھا

دیکھا اک گنبد کے نیچے

کھڑا ہوا ہوں

سنتا ہوں خود کی آوازیں

یہ آوازیں

مجھ کو واپس لے جاتی ہیں

خوابوں کے اس مردہ گھر میں

جو بالکل تاریک پڑا ہے

جس میں میرے ماضی کے کرداروں کے

کچھ کفن پڑے ہیں

ان لوگوں کے

جو زینت تھے ان خوابوں کی

لیکن ان کرداروں کی اب شکل نہیں ہے

اک تاریکی ہے بدبو ہے خاموشی ہے

مردہ گھر کے پردوں سے

میری آوازیں جھول رہی ہیں

جن سے اک چمگادڑ کا ننھا سا بچہ

کھیل رہا ہے

سڑکوں پر کہرام مچا ہے

کچھ تو ہوا ہے

لوگ مرے ہیں

لہو بہا ہے

اور یہ چمگادڑ کا بچہ

میری تنہائی کا وارث

میری آوازوں کی لرزاں انگلی تھامے

مجھ کو اس منظر کی جانب کھینچ رہا ہے

جہاں کسی ننھے بچے کی

لاش پڑی ہے

اور وہ چمگادڑ کا بچہ

میرے ذہن کی سوکھی پرتوں میں

احساس کا ریشہ ڈھونڈ رہا ہے

اور اس ٹھنڈی لاش پہ بیٹھا

سسک رہا ہے

جگدیش پرکاش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwabon Ka Murda Ghar

Jagdish Prakash

tanhai ko KHwab ki dastak dete dekha
dekha ek gumbad ke niche
khaDa hua hun
sunta hun KHud ki aawazen
ye aawazen
mujh ko wapas le jati hain
KHwabon ke us murda-ghar mein
jo bilkul tarik paDa hai
jis mein mere mazi ke kirdaron ke
kuchh kafan paDe hain
un logon ke
jo zinat the in KHwabon ki
lekin un kirdaron ki ab shakl nahin hai
ek tariki hai badbu hai KHamoshi hai
murda-ghar ke pardon se
meri aawazen jhul rahi hain
jin se ek chamgadaD ka nanha sa bachcha
khel raha hai
saDkon par kohram macha hai
kuchh to hua hai
log mare hain
lahu baha hai
aur ye chamgadaD ka bachcha
meri tanhai ka waris
meri aawazon ki larzan ungli thame
mujh ko us manzar ki jaanib khinch raha hai
jahan kisi nanhe bachche ki
lash paDi hai
aur wo chamgadaD ka bachcha
mere zehn ki sukhi parton mein
ehsas ka resha DhunD raha hai
aur is ThanDi lash pe baiTha
sisak raha hai

(650) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHwabon Ka Murda Ghar written by Jagdish Prakash at UrduPoint. KHwabon Ka Murda Ghar is one of the masterpieces written by Jagdish Prakash. You can also find the complete poetry collection of Jagdish Prakash by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jagdish Prakash' above.

KHwabon Ka Murda Ghar is a widely read Urdu Nazam. If you like KHwabon Ka Murda Ghar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.