Hui Sar-gashta KHak Apni Ghubar-e-karwan Ho Kar, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

Hui Sar-gashta KHak Apni Ghubar-e-karwan Ho Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. Hui Sar-gashta KHak Apni Ghubar-e-karwan Ho Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hui Sar-gashta KHak Apni Ghubar-e-karwan Ho Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوئی سرگشتہ خاک اپنی غبار کارواں ہو کر

جمیلہ خدا بخش

ہوئی سرگشتہ خاک اپنی غبار کارواں ہو کر

مجھے قسمت ستاتی ہے رقیب کامراں ہو کر

دل پژمردہ عاشق کو تم اپنے سامنے رکھنا

تماشا رقص بسمل کا دکھائے گا تپاں ہو کر

ہمارے اس دل ویراں شدہ میں اے بت رعنا

تمہاری آرزو گھبرا رہی ہے میہماں ہو کر

اڑایا تیزئ باد صبا نے گر تو غم کیا ہے

غبار اپنا بلندی پر رہے گا آسماں ہو کر

مرے دل کی عمارت گو شکستہ حال ہے لیکن

مکان خاص ہو جائے گا اس کا لا مکاں ہو کر

انیس و مونس و ہمدم امیدیں ہو نہیں سکتیں

کہاں جاتا ہے اے دل یوسف بے کارواں ہو کر

کریں کیا گفتگو آنکھیں ملا کر ان رقیبوں سے

تمہاری بزم میں بت بن گئے ہیں بے زباں ہو کر

ہمارے دیدۂ حیرت زدہ میں خواب کیا آئے

کہ تیری آرزو بیٹھی ہے اس میں پاسباں ہو کر

لگانا وار ہلکا قتل گہہ میں مجھ پہ اے قاتل

کہ لطف رقص بسمل میں دکھاؤں نیم جاں ہو کر

مری کاہیدگی اور ناتوانی پوچھتے کیا ہو

غم ہجراں دباتا ہے مجھے بار گراں ہو کر

خدا کے فضل سے اس بوستان‌ نعت مدحت میں

جمیلہؔ نغمہ زن ہے بلبل خوش داستاں ہو کر

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hui Sar-gashta KHak Apni Ghubar-e-karwan Ho Kar

Jameela Khuda Bakhsh

hui sar-gashta KHak apni ghubar-e-karwan ho kar
mujhe qismat satati hai raqib-e-kaamran ho kar

dil-e-pazh-murda aashiq ko tum apne samne rakhna
tamasha raqs-e-bismil ka dikhaega tapan ho kar

hamare is dil-e-viran-shuda mein ai but-e-raana
tumhaari aarzu ghabra rahi hai mehman ho kar

uDaya tezi-e-baad-e-saba ne gar to gham kya hai
ghubar apna bulandi par rahega aasman ho kar

mere dil ki imarat go shikasta haal hai lekin
makan-e-KHas ho jaega us ka la-makan ho kar

anis-o-monis-o-hamdam umiden ho nahin saktin
kahan jata hai ai dil yusuf-e-be-karwan ho kar

karen kya guftugu aankhen mila kar un raqibon se
tumhaari bazm mein but ban gae hain be-zaban ho kar

hamare dida-e-hairat-zad mein KHwab kya aae
ki teri aarzu baiThi hai is mein pasban ho kar

lagana war halka qatl-gah mein mujh pe ai qatil
ki lutf raqs-e-bismil main dikhaun nim-jaan ho kar

meri kahidgi aur na-tawani puchhte kya ho
gham-e-hijran dabaata hai mujhe bar-e-garan ho kar

KHuda ke fazl se is bostan-e-nat-e-midhat mein
'jamila' naghma-zan hai bulbul-e-KHush-dastan ho kar

(403) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hui Sar-gashta KHak Apni Ghubar-e-karwan Ho Kar written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. Hui Sar-gashta KHak Apni Ghubar-e-karwan Ho Kar is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

Hui Sar-gashta KHak Apni Ghubar-e-karwan Ho Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hui Sar-gashta KHak Apni Ghubar-e-karwan Ho Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.