Haalat To Dekh Li Meri Chashm-e-pur-ab Ki, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

Haalat To Dekh Li Meri Chashm-e-pur-ab Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. Haalat To Dekh Li Meri Chashm-e-pur-ab Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Haalat To Dekh Li Meri Chashm-e-pur-ab Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حالت تو دیکھ لی مری چشم پر آب کی

جمیلہ خدا بخش

حالت تو دیکھ لی مری چشم پر آب کی

ساقی نہیں ہوس مجھے جام شراب کی

دل کو شرار شعلۂ غم نے جلا دیا

پہلو سے آ رہی ہے جو خوشبو کباب کی

کس کی شمیم نے اسے ایسا بسا دیا

آتی ہے اپنی خاک سے خوشبو گلاب کی

افسانۂ گذشتہ یہ کہتا ہے مجھ سے دل

کیا ذکر ان کا بھولیے باتیں ہیں خواب کی

اس بارگاہ احمد مرسل کے سامنے

وقعت نہیں ہے کچھ بھی فلک سے حباب کی

از فرش تا بہ عرش منور اسی سے ہے

ایسی چمک ہے روضۂ عالی جناب کی

کیوں کر نہ ہوں میں نغمہ سرا ان کی نعت میں

بلبل ہوں بوستان رسالت مآب کی

اس دہر بے بقا سے لگاؤں میں دل کو کیا

ہستی ہے ایک وسعت موج سراب کی

عزت نہ تیرے عرش پہ کیوں کر ملک کریں

تو ہے جمیلہؔ خاک قدم بو تراب کی

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Haalat To Dekh Li Meri Chashm-e-pur-ab Ki

Jameela Khuda Bakhsh

haalat to dekh li meri chashm-e-pur-ab ki
saqi nahin hawas mujhe jam-e-sharab ki

dil ko sharar-e-shola-e-gham ne jala diya
pahlu se aa rahi hai jo KHushbu kabab ki

kis ki shamim ne use aisa basa diya
aati hai apni KHak se KHushbu gulab ki

afsana-e-guzishta ye kahta hai mujh se dil
kya zikr un ka bhuliye baaten hain KHwab ki

is bargah-e-ahmad-e-mursal ke samne
waqat nahin hai kuchh bhi falak se habab ki

az-farsh ta-ba-arsh munawwar usi se hai
aisi chamak hai rauza-e-ali-janab ki

kyunkar na hun main naghma-sara un ki nat mein
bulbul hun bostan-e-risalat-maab ki

is dahr-e-be-baqa se lagaun main dil ko kya
hasti hai ek wusat-e-mauj-e-sarab ki

izzat na tere arsh pe kyun kar malak karen
tu hai 'jamila' KHak-e-qadam bu-turab ki

(418) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Haalat To Dekh Li Meri Chashm-e-pur-ab Ki written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. Haalat To Dekh Li Meri Chashm-e-pur-ab Ki is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

Haalat To Dekh Li Meri Chashm-e-pur-ab Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Haalat To Dekh Li Meri Chashm-e-pur-ab Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.