Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin, Urdu Ghazal By Jigar Barelvi

Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jigar Barelvi. Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیوں آشنائے غم دل وحشت اثر نہیں

جگر بریلوی

کیوں آشنائے غم دل وحشت اثر نہیں

مانوس التفات وہ ظالم اگر نہیں

میں ہوں تلاش راہ محبت ہے دشت ہے

سایہ نہیں نشان نہیں ہم سفر نہیں

پھر راہ رو سے لیتا ہوں منزل کا کچھ سراغ

سب راہبر ہیں میرے کوئی راہبر نہیں

پھر عندلیب زار نے تنکے اٹھا لئے

شاید چمن اجڑنے کی اس کو خبر نہیں

میں اور جام و نغمہ و مطرب سے واسطہ

خوش ہوں کہ میرا بزم طرب میں گزر نہیں

کیوں جل نہ جائے تاب رخ یار دیکھ کر

دل ہے یہ کوئی چشم حقیقت نگر نہیں

اوراق دو جہاں پہ جو تحریر ہو سکے

اتنا مرا فسانۂ غم مختصر نہیں

ضبط جنوں نے ڈھائی ہیں دل کی عمارتیں

اب اس دیار میں کوئی دیوار و در نہیں

دل کو سپرد کرتے ہیں اپنا پیام جاں

یہ معتبر نہیں تو کوئی معتبر نہیں

پیوست ہوں نہ جس میں زمانے کے دل جگرؔ

کچھ اور ہے وہ آپ کا تیر نظر نہیں

کیسی دعا کہاں کا اثر کس کا مدعا

کچھ آگ کے سوا مرے دل میں جگرؔ نہیں

جگر بریلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin

Jigar Barelvi

kyun aashna-e-gham dil-e-wahshat-asar nahin
manus-e-iltifat wo zalim agar nahin

main hun talash-e-rah-e-mohabbat hai dasht hai
saya nahin nishan nahin ham-safar nahin

phir rah-rau se leta hun manzil ka kuchh suragh
sab rahbar hain mere koi rahbar nahin

phir andalib-e-zar ne tinke uTha liye
shayad chaman ujaDne ki is ko KHabar nahin

main aur jam-o-naghma-o-mutrib se wasta
KHush hun ki mera bazm-e-tarab mein guzar nahin

kyun jal na jae tab-e-ruKH-e-yar dekh kar
dil hai ye koi chashm-e-haqiqat-nigar nahin

auraq-e-do-jahan pe jo tahrir ho sake
itna mera fasana-e-gham muKHtasar nahin

zabt-e-junun ne Dhai hain dil ki imaraten
ab is dayar mein koi diwar-o-dar nahin

dil ko supurd karte hain apna payam-e-jaan
ye mo'tabar nahin to koi mo'tabar nahin

paiwast hon na jis mein zamane ke dil 'jigar'
kuchh aur hai wo aap ka tir-e-nazar nahin

kaisi dua kahan ka asar kis ka muddaa
kuchh aag ke siwa mere dil mein 'jigar' nahin

(562) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin written by Jigar Barelvi at UrduPoint. Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin is one of the masterpieces written by Jigar Barelvi. You can also find the complete poetry collection of Jigar Barelvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jigar Barelvi' above.

Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.