Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain, Urdu Ghazal By Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اب جو ہم زیست میں بیزار نظر آتے ہیں

جتیندر موہن سنہا رہبر

اب جو ہم زیست میں بیزار نظر آتے ہیں

ہر طرف اپنے خریدار نظر آتے ہیں

وہ ہمیں مخزن اسرار نظر آتے ہیں

ہم انہیں عاشق بیزار نظر آتے ہیں

ہم کو مے خوار ہی مے خوار نظر آتے ہیں

سب مئے عشق سے سرشار نظر آتے ہیں

بد ظنی ظلم و ستم ہجو صنم رسوائی

عشق میں تو بڑے آزار نظر آتے ہیں

سب کا دل لیتے ہیں اور اپنا نہیں دیتے ہیں

آپ ہم کو بڑے ہشیار نظر آتے ہیں

ختم مجھ پر ہی نہیں عشق مسیحا میرے

مجھ کو تو آپ بھی بیمار نظر آتے ہیں

اب جو رسوائی پہ میری انہیں درد آیا ہے

باریابی کے کچھ آثار نظر آتے ہیں

دشت پیمائی سے جب آبلہ پا سوتا ہوں

خواب میں آپ گہر بار نظر آتے ہیں

ایک وہ ہیں کہ زمانے میں ہے شہرہ جن کا

ایک ہم ملک پہ جو بار نظر آتے ہیں

کوڑے کرکٹ کا ملے گا نہ ولایت میں نشاں

ہند میں ہر طرف انبار نظر آتے ہیں

کس سے شکوہ کروں رہبرؔ کہ سبھی اب تو مجھے

میرے دلبر کے طلب گار نظر آتے ہیں

جتیندر موہن سنہا رہبر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

ab jo hum zist mein bezar nazar aate hain
har taraf apne KHaridar nazar aate hain

wo hamein maKHzan-e-asrar nazar aate hain
hum unhen aashiq-e-bezar nazar aate hain

hum ko mai-KHwar hi mai-KHwar nazar aate hain
sab mai-e-ishq se sarshaar nazar aate hain

bad-zani zulm-o-sitam hajw-e-sanam ruswai
ishq mein to baDe aazar nazar aate hain

sab ka dil lete hain aur apna nahin dete hain
aap hum ko baDe hoshyar nazar aate hain

KHatm mujh par hi nahin ishq masiha mere
mujh ko to aap bhi bimar nazar aate hain

ab jo ruswai pe meri unhen dard aaya hai
baryabi ke kuchh aasar nazar aate hain

dasht-paimai se jab aabla-pa sota hun
KHwab mein aap guhar-bar nazar aate hain

ek wo hain ki zamane mein hai shohra jin ka
ek hum mulk pe jo bar nazar aate hain

kuDe-karkaT ka milega na wilayat mein nishan
hind mein har taraf ambar nazar aate hain

kis se shikwa karun 'rahbar' ki sabhi ab to mujhe
mere dilbar ke talabgar nazar aate hain

(573) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar at UrduPoint. Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain is one of the masterpieces written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. You can also find the complete poetry collection of Jitendra Mohan Sinha Rahbar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jitendra Mohan Sinha Rahbar' above.

Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.