Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai, Urdu Ghazal By Joshish Azimabadi

Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Joshish Azimabadi. Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لب پر جو مرے آہ غم آلود نہیں ہے

جوشش عظیم آبادی

لب پر جو مرے آہ غم آلود نہیں ہے

اظہار محبت مجھے مقصود نہیں ہے

ہم جیسے فقیروں کو تو یوں بھی نہ کہے وہ

پھر آئیو کچھ اس گھڑی موجود نہیں ہے

کہتا ہوں میں یہ گبر و مسلمان کے منہ پر

وہ عبد نہیں جس کا تو معبود نہیں ہے

نرمائے ہے کس طرح سے اس آہن دل کو

یہ آہ اگر نغمۂ داؤد یہیں ہے

پھرتے ہیں کئی قیس سے حیران و پریشان

اس عشق کی سرکار میں بہبود نہیں ہے

تاثیر مدد کیجیو اب سینے میں اپنے

اس نالے سے اک آہ بھی افزود نہیں ہے

خوبیٔ ایاز آپھی نظر آ گئی ہوتی

افسوس ترے عہد میں محمود نہیں ہے

اس آتش فرقت کے سوا دہر میں ؔجوشش

دیکھا تو کہیں آتش بے دود نہیں ہے

جوشش عظیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai

Joshish Azimabadi

lab par jo mere aah-e-gham-alud nahin hai
izhaar-e-mohabbat mujhe maqsud nahin hai

hum jaise faqiron ko to yun bhi na kahe wo
phir aaiyo kuchh is ghaDi maujud nahin hai

kahta hun main ye gabr o musalman ke munh par
wo abd nahin jis ka tu mabud nahin hai

narmae hai kis tarah se is aahan-e-dil ko
ye aah agar naghma-e-daud yahin hai

phirte hain kai qais se hairan o pareshan
is ishq ki sarkar mein bahbud nahin hai

tasir madad kijiyo ab sine mein apne
is nale se ek aah bhi afzud nahin hai

KHubi-e-ayaz aaphi nazar aa gai hoti
afsos tere ahd mein mahmud nahin hai

is aatish-e-furqat ke siwa dahr mein 'joshish'
dekha to kahin aatish-e-be-dud nahin hai

(392) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai written by Joshish Azimabadi at UrduPoint. Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai is one of the masterpieces written by Joshish Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Joshish Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Joshish Azimabadi' above.

Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Lab Par Jo Mere Aah-e-gham-alud Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.