ShaiKH Ko Kabe Se Jo Maqsud Hai, Urdu Ghazal By Joshish Azimabadi

ShaiKH Ko Kabe Se Jo Maqsud Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Joshish Azimabadi. ShaiKH Ko Kabe Se Jo Maqsud Hai comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read ShaiKH Ko Kabe Se Jo Maqsud Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شیخ کو کعبے سے جو مقصود ہے

جوشش عظیم آبادی

شیخ کو کعبے سے جو مقصود ہے

وہ کنشت دل ہی میں موجود ہے

میرے جلنے کی کسی کو کیا خبر

سوزش دل آتش بے دود ہے

نے حرم سے کام ہے نے دیر سے

خانۂ دل ہی مرا مسجود ہے

فرق مت کر عاشق و معشوق میں

خود ایاز اور آپ ہی محمود ہے

کیا پری کیا حور کیا جن و بشر

سب میں وہ شاید مرا مشہود ہے

مشرب عشاق میں اے زاہدو

اس کا جو مخلوق ہے معبود ہے

سنگ و آہن کو یہ کرتی ہے گداز

آہ ہے یہ نغمۂ داؤد ہے

کس سے اے ؔجوشش کہوں میں درد دل

میرے اس کے بولنا مفقود ہے

جوشش عظیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

ShaiKH Ko Kabe Se Jo Maqsud Hai

Joshish Azimabadi

shaiKH ko kabe se jo maqsud hai
wo kunisht-e-dil hi mein maujud hai

mere jalne ki kisi ko kya KHabar
sozish-e-dil aatish-e-be-dud hai

ne haram se kaam hai ne dair se
KHana-e-dil hi mera masjud hai

farq mat kar aashiq o mashuq mein
KHud ayaz aur aap hi mahmud hai

kya pari kya hur kya jinn-o-bashar
sab mein wo shayad mera mashhud hai

mashrab-e-ushshaq mein ai zahido
us ka jo maKHluq hai mabud hai

sang o aahan ko ye karti hai gudaz
aah hai ye naghma-e-daud hai

kis se ai 'joshish' kahun main dard-e-dil
mere us ke bolna mafqud hai

(441) ووٹ وصول ہوئے

You can read ShaiKH Ko Kabe Se Jo Maqsud Hai written by Joshish Azimabadi at UrduPoint. ShaiKH Ko Kabe Se Jo Maqsud Hai is one of the masterpieces written by Joshish Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Joshish Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Joshish Azimabadi' above.

ShaiKH Ko Kabe Se Jo Maqsud Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like ShaiKH Ko Kabe Se Jo Maqsud Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.